kya kahen kya-kya hua hai man tere jaane ke baad
Interesting Fact
اپنی والدہ مرحومہ کے نام۔
kyā kaheñ kyā-kyā huā hai maañ tire jaane ke baa'd
āshnā nā-āshnā hai maañ tire jaane ke baa'd
ġham kā bādal chhā gayā hai maañ tire jaane ke baa'd
dam bahut ghuTtā mirā hai maañ tire jaane ke baa'd
sūnā-sūnā lag rahā hai maañ tire jaane ke baa'd
ghar kahāñ ab ḳhuld-sā hai maañ tire jaane ke baa'd
ho 'atā ḳhuld-e-barīñ sadqe rasūl-e-pāk ke
rab se merī ye du'ā hai maañ tire jaane ke baa'd
terī sūrat dekh kar bhī mujh ko miltā thā savāb
ab kahāñ faiz-e-liqā hai maañ tire jaane ke baa'd
dahr se sola rajab ko aah rehlat ho ga.ī
dard āñkhoñ se bahā hai maañ tire jaane ke baa'd
chashm-e-rahmat kaun Daale be-navā kī samt ab
hāfiz ab merā ḳhudā hai maañ tire jaane ke baa'd
vo sadā-e-dil-nashīñ sunñe se haiñ mahrūm-e-kān
tū ne jo beTā kahā hai maañ tire jaane ke baa'd
tere āñchal kī havā se dil ko miltā thā sukūn
kaun tujh sā dosrā hai maañ tire jaane ke baa'd
dil mirā marġhūb khāne kī taraf jaatā nahīñ
har ġhizā be-zā.eqa hai maañ tire jaane ke baa'd
dil nahīñ lagtā hai duniyā ke kisī kone meñ bhī
sar se saaya uTh gayā hai maañ tire jaane ke baa'd
hāl-e-dil kis ko sunā.ūñ kaun samjhegā yahāñ
bojh kaisā aa paḌā hai maañ tire jaane ke baa'd
āñsuoñ kā ho gayā sailāb jaarī kyā kahūñ
dil mirā maġhmūm sā hai maañ tire jaane ke baa'd
kah rahā hai 'amabar'-e-ḳhasta sabhī se yak-zabāñ
ghar mirā suunā huā hai maañ tire jaane ke baa'd
kya kahen kya-kya hua hai man tere jaane ke ba'd
aashna na-ashna hai man tere jaane ke ba'd
gham ka baadal chha gaya hai man tere jaane ke ba'd
dam bahut ghuTta mera hai man tere jaane ke ba'd
suna-suna lag raha hai man tere jaane ke ba'd
ghar kahan ab KHuld-sa hai man tere jaane ke ba'd
ho 'ata KHuld-e-barin sadqe rasul-e-pak ke
rab se meri ye du'a hai man tere jaane ke ba'd
teri surat dekh kar bhi mujh ko milta tha sawab
ab kahan faiz-e-liqa hai man tere jaane ke ba'd
dahr se sola rajab ko aah rehlat ho gai
dard aankhon se baha hai man tere jaane ke ba'd
chashm-e-rahmat kaun Dale be-nawa ki samt ab
hafiz ab mera KHuda hai man tere jaane ke ba'd
wo sada-e-dil-nashin sunne se hain mahrum-e-kan
tu ne jo beTa kaha hai man tere jaane ke ba'd
tere aanchal ki hawa se dil ko milta tha sukun
kaun tujh sa dosra hai man tere jaane ke ba'd
dil mera marghub khane ki taraf jata nahin
har ghiza be-zaeqa hai man tere jaane ke ba'd
dil nahin lagta hai duniya ke kisi kone mein bhi
sar se saya uTh gaya hai man tere jaane ke ba'd
haal-e-dil kis ko sunaun kaun samjhega yahan
bojh kaisa aa paDa hai man tere jaane ke ba'd
aansuon ka ho gaya sailab jari kya kahun
dil mera maghmum sa hai man tere jaane ke ba'd
kah raha hai 'amabar'-e-KHasta sabhi se yak-zaban
ghar mera suna hua hai man tere jaane ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.