pani
saiñkaḌoñ saal hue jab na milā thā paanī
aaj tak hai lab-e-shabbīr kā pyāsā paanī
karbalā sāmne aatī jo vo lāshe le kar
aañkh to aañkh hai patthar se bhī ristā paanī
kaisī bastī meñ mohammad kā musāfir Thahrā
dhuup ḳhema thī darī ret nazzāra paanī
tishnagī us kī samundar ko bulā saktī thī
kaaT saktā thā vo talvār se chaltā paanī
kis ke sar fat.h kā tārīḳh ne sehrā bāñdhā
surḳh-rū kaun hai donoñ meñ lahū yā paanī
maut ke ghaaT utarte hī raheñge pyāse
jab tak is dajla-e-duniyā meñ rahegā paanī
jab bhī zikr-e-shohadā dil ne 'muzaffar' chheḌā
aañkh ik zaḳhm banī zaḳhm se Tapkā paanī
sainkaDon sal hue jab na mila tha pani
aaj tak hai lab-e-shabbir ka pyasa pani
karbala samne aati jo wo lashe le kar
aankh to aankh hai patthar se bhi rista pani
kaisi basti mein mohammad ka musafir Thahra
dhup KHema thi dari ret nazzara pani
tishnagi us ki samundar ko bula sakti thi
kaT sakta tha wo talwar se chalta pani
kis ke sar fath ka tariKH ne sehra bandha
surKH-ru kaun hai donon mein lahu ya pani
maut ke ghaT utarte hi rahenge pyase
jab tak is dajla-e-duniya mein rahega pani
jab bhi zikr-e-shohada dil ne 'muzaffar' chheDa
aankh ek zaKHm bani zaKHm se Tapka pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.