Sufinama

sehra

MORE BYSanjar Ghazipuri

    lillāh al-hamd dikhātā hai vo manzar sehrā

    rahmat-e-ḳhāliq-e-akbar hai sarāsar sehrā

    ḳhuld se laa.ī haiñ hūreñ banā kar sehrā

    mushk-o-ambar se bhī ḳhushbū meñ hai baḌh kar sehrā

    paḌh ke al-hamd hasīnoñ ne use gūñdhā hai

    kyuuñ na sab sehroñ se behtar ho ye behtar sehrā

    bulbuleñ mast ho jaa.eñ phuul khile chhā.ī ghaTā.eñ

    sar pe dūlhā ke jo bāñdhā gayā kar sehrā

    auj par hai tirī qismat sitārā

    rahmat-e-haq se bañdhā aaj tire sar sehrā

    sham.a-rū mahfil-e-shādī ujālā hai

    chāñd tarah se raushan hai tire sar sehrā

    fazl ḳhāliq ghaTā ban ke hai chhāyā har-sū

    bārisheñ phūloñ kartī haiñ nichhāvar sehrā

    tujh ko shāhī milī bajtī hai tire ghar naubat

    taaj shādī tire sar hai to ruḳh par sehrā

    apne begāne bhī dil se duā karte haiñ

    raas laa.e tujhe ye ḳhāliq-e-akbar sehrā

    dūlhā-dūlhan se mile shaad ho dil donoñ

    zīnat-e-ishq bane husn zevar sehrā

    jhuum kar sehre har ek laḌī kahtī hai

    dil se dil aaj milā.egā ye dilbar sehrā

    kyuuñ na dil-shād ḳhushī se ho tar vālid

    haq ne dikhlāyā jo aulād ke sar par sehrā

    ahl-e-mahfil ne sunā jab gul-e-mazmūñ merā

    kahe uThe ḳhuub likhā aap ne 'sanjar' sahrā

    lillah al-hamd dikhata hai wo manzar sehra

    rahmat-e-KHaliq-e-akbar hai sarasar sehra

    KHuld se lai hain huren bana kar sehra

    mushk-o-ambar se bhi KHushbu mein hai baDh kar sehra

    paDh ke al-hamd hasinon ne use gundha hai

    kyun na sab sehron se behtar ho ye behtar sehra

    bulbulen mast ho jaen phul khile chhai ghaTaen

    sar pe dulha ke jo bandha gaya ga kar sehra

    auj par hai teri qismat ka sitara

    rahmat-e-haq se bandha aaj tere sar sehra

    shama-ru mahfil-e-shadi ka ujala tu hai

    chand ki tarah se raushan hai tere sar sehra

    fazl KHaliq ka ghaTa ban ke hai chhaya har-su

    barishen phulon ka karti hain nichhawar sehra

    tujh ko shahi mili bajti hai tere ghar naubat

    taj shadi ka tere sar hai to ruKH par sehra

    apne begane bhi dil se dua karte hain

    ras lae tujhe ye KHaliq-e-akbar sehra

    dulha-dulhan se mile shad ho dil donon ka

    zinat-e-ishq bane husn ka zewar sehra

    jhum kar sehre ki har ek laDi kahti hai

    dil se dil aaj milaega ye dilbar sehra

    kyun na dil-shad KHushi se ho tar walid ka

    haq ne dikhlaya jo aulad ke sar par sehra

    ahl-e-mahfil ne suna jab gul-e-mazmun mera

    kahe uThe KHub likha aap ne 'sanjar' sahra

    Source :
    • Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 145)
    • Author : Sanjar Ghazipuri
    • Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now