nara-e-mastana
illā-hū illā-hū illā-hū illā-hū
thā kahāñ chāñd-o-sūraj ye arz-o-samā
zāt-e-haq ke sivā pahle kuchh bhī na thā
kis ne kun kah ke duniyā ko paidā kiyā
DhūñD dil meñ tū apne milegā pata
illā-hū illā-hū illā-hū illā-hū
apne nuur se ḳhāliq-e-dūsrā
phir to nūr-e-mohammad paidā kiyā
paidā hote hī vo nūr-e-haq-āshnā
rakh ke sajde meñ sar us ko barsoñ paḌhā
illā-hū illā-hū illā-hū illā-hū
kis ne qārūñ ko daulat dī be-intihā
batn-e-māhī meñ yūnus kā hamdam banā
kis ne fir.aun par qahr nāzil kiyā
hāh-e-kan.āñ meñ yūsuf kā monis huā
illā-hū illā-hū illā-hū illā-hū
kis ne muusā kā rutba do-bālā kiyā
nār-e-namrūd ko kis ne ThanDā kiyā
kis ne iisā ko be-bāp paidā kiyā
kis ne murdoñ ko dam-bhar meñ zinda kiyā
illā-hū illā-hū illā-hū illā-hū
ek kāmil se fāriġh ye maiñ ne kahā
haq se mere liye kuchh to kiije duā
merī bātoñ ko sun kar vo kahne lagā
ye vazīfa paḌhā kar tū sub.h-o-masā
illā-hū illā-hū illā-hū illā-hū
illa-hu illa-hu illa-hu illa-hu
tha kahan chand-o-suraj ye arz-o-sama
zat-e-haq ke siwa pahle kuchh bhi na tha
kis ne kun kah ke duniyā ko paida kiya
DhunD dil mein tu apne milega pata
illa-hu illa-hu illa-hu illa-hu
apne nur se KHaliq-e-dusra
phir to nur-e-mohammad paida kiya
paida hote hi wo nur-e-haq-ashna
rakh ke sajde mein sar us ko barson paDha
illa-hu illa-hu illa-hu illa-hu
kis ne qarun ko daulat di be-intiha
batn-e-mahi mein yunus ka hamdam bana
kis ne firaun par qahr nazil kiya
hah-e-kanan mein yūsuf ka monis hua
illa-hu illa-hu illa-hu illa-hu
kis ne musa ka rutba do-baala kiya
nar-e-namrud ko kis ne ThanDa kiya
kis ne isa ko be-bap paida kiya
kis ne murdon ko dam-bhar mein zinda kiya
illa-hu illa-hu illa-hu illa-hu
ek kaamil se farigh ye main ne kaha
haq se mere liye kuchh to kije dua
meri baaton ko sun kar wo kahne laga
ye wazifa paDha kar tu subh-o-masa
illa-hu illa-hu illa-hu illa-hu
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 152)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.