Sufinama

bindiya

MORE BYSanjar Ghazipuri

    kahāñ girī re more māthe bindiyā

    kahāñ girī kahāñ girī kahāñ girī re more māthe bindiyā

    yaad jis vaqt unheñ aayā kisī va.ada

    ban-sañvar ke jo kiyā qasd vahāñ jaane

    jis ghaḌī ā.īna meñ chehra-e-zebā dekhā

    faq huā chehre rañg thaam ke dil farmāyā

    kahāñ girī re more māthe bindiyā

    is taraf us taraf har samt nazar dauḌāyā

    par kisī pe na apnā durr-e-maqsad paayā

    kabhī āñgan kabhī darvāza ko bhī dekhā

    yahī kahtā huā phirtā thā vo but ghabrāyā

    kahāñ girī re more māthe bindiyā

    kabhī takiye ko ulaTtā to kabhī bistar ko

    kabhī hāthoñ se lagā pīTne apne sar ko

    sar pe us vaqt uThā rakhā thā saare ghar ko

    sab se kahtā thā badal kar vo sanam tevar ko

    kahāñ girī re more māthe bindiyā

    hukm farmāyā na jaaye koī bāhar ghar se

    lūñgā jhāḌī abhī le lūñgā maiñ ik ik kar ke

    kone kone zamīñ jis ghaḌī vo dekh chuke

    jal ke ġhussa se ye farmāyā karam more jale

    kahāñ girī re more māthe bindiyā

    uljhe gesuoñ pe jab dast-e-hinā.ī pherā

    un muTThī meñ sitāra vo sarak kar aayā

    kholī muTThī to hañse ḳhuub aur farmāyā

    dekho 'sanjar' piyā zulfoñ meñ phañsī thī bindiyā

    vo to yahāñ milī re more māthe bindiyā

    kahan giri re more mathe ki bindiya

    kahan giri kahan giri kahan giri re more mathe ki bindiya

    yaad jis waqt unhen aaya kisi ka wada

    ban-sanwar ke jo kiya qasd wahan jaane ka

    jis ghaDi aaina mein chehra-e-zeba dekha

    faq hua chehre ka rang tham ke dil farmaya

    kahan giri re more mathe ki bindiya

    is taraf us taraf har samt nazar dauDaya

    par kisi ja pe na apna durr-e-maqsad paya

    kabhī aangan kabhī darwaza ko bhi ja dekha

    yahī kahta hua phirta tha wo but ghabraya

    kahan giri re more mathe ki bindiya

    kabhī takiye ko ulaTta to kabhī bistar ko

    kabhī hathon se laga piTne apne sar ko

    sar pe us waqt uTha rakha tha sare ghar ko

    sab se kahta tha badal kar wo sanam tewar ko

    kahan giri re more mathe ki bindiya

    hukm farmaya na jaye koi bahar ghar se

    lunga jhaDi abhi le lunga main ek ek kar ke

    kone kone ki zamin jis ghaDi wo dekh chuke

    jal ke ghussa se ye farmaya karam more jale

    kahan giri re more mathe ki bindiya

    uljhe gesuon pe jab dast-e-hinai phera

    un ki muTThi mein sitara wo sarak kar aaya

    kholi muTThi to hanse KHub aur farmaya

    dekho 'sanjar' piya zulfon mein phansi thi bindiya

    wo to yahan mili re more mathe ki bindiya

    Source :
    • Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 154)
    • Author : Sanjar Ghazipuri
    • Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now