ya pir al-ghiyas
laayā tumhāre paas huuñ yā piir al-ġhiyās
kar aah ke qalam se maiñ tahrīr al-ġhiyās
lāhūt se utar ke huuñ nāsūt meñ paḌā
kyā kuchh huī maqām kī ta.abīr al-ġhiyās
hirs-o-havā-e-nafas hai zanjīr pā-e-dil
paatā nahīñ najāt kī tadbīr al-ġhiyās
aajiz huuñ aur bekas-o-nā-chār-o-nā-tavāñ
mazmūn-e-āh-e-dil kī hai tafsīr al-ġhiyās
ham aap ke kahāte haiñ yā pīr-e-dast-gīr
sun lo murīd apne kī yā piir al-ġhiyās
mushkil-kushā-e-ḳhalaq ho tum shāh-e-auliyā
hai is liye tumhārī qazā giir al-ġhiyās
karte hue mushkilāt jahāñ ek pal meñ hal
kyoñ haq meñ mere itnī hai tāḳhīr al-ġhiyās
soz-o-gudāz-o-āh-o-tapish nāla-e-fuġhāñ
sab kuchh huā vale nahīñ tāsīr al-ġhiyās
gar sun ke al-ġhiyās 'niyāz' aap daad deñ
duniyā-o-dīñ meñ paatī hai tauqīr al-ġhiyās
yā ġhaus-ul-āzam aap sivā kaun hai mirā
kis ke kane maiñ jā karūñ taqrīr al-ġhiyās
dekho to maiñ 'niyāz' huuñ le sar se paañv tak
yā huuñ maiñ al-ġhiyās kī tasvīr al-ġhiyās
laya tumhaare pas hun ya pir al-ghiyas
kar aah ke qalam se main tahrir al-ghiyas
lahut se utar ke hun nasut mein paDa
kya kuchh hui maqam ki tabir al-ghiyas
hirs-o-hawa-e-nafas hai zanjir pa-e-dil
pata nahin najat ki tadbir al-ghiyas
aajiz hun aur bekas-o-na-chaar-o-na-tawan
mazmun-e-ah-e-dil ki hai tafsir al-ghiyas
hum aap ke kahate hain ya pir-e-dast-gir
sun lo murid apne ki ya pir al-ghiyas
mushkil-kusha-e-KHalaq ho tum shah-e-auliya
hai is liye tumhaari qaza gir al-ghiyas
karte hue mushkilat jahan ek pal mein hal
kyon haq mein mere itni hai taKHir al-ghiyas
soz-o-gudaz-o-ah-o-tapish nala-e-fughan
sab kuchh hua wale nahin tasir al-ghiyas
gar sun ke al-ghiyas 'niyaz' aap dad den
duniya-o-din mein pati hai tauqir al-ghiyas
ya ghaus-ul-azam aap siwa kaun hai mera
kis ke kane main ja karun taqrir al-ghiyas
dekho to main 'niyaz' hun le sar se panw tak
ya hun main al-ghiyas ki taswir al-ghiyas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.