uswa-e-risalat
jo baat zulm se na huī pyaar se huī
tahzīb-e-zindagī tire kirdār se huī
jo mehr-o-māh bhī na zamāne ko de sake
vo raushnī tire dar-o-dīvār se huī
imkān kī hadoñ se pare tak tire qadam
paimā.ish-e-jahāñ tirī purkār se huī
sāhil kī aarzū nahīñ ta.alīm-e-mustafā
ye naav to rozāna hī mañjdhār se huī
mazlūm ke lahū kā muqaddar bhī jaag uThā
us kī bhī qadr aap kī talvār se huī
patthar bhī khaa.e mere rasūl-e-karīm ne
me.arāj-e-haq bhī zīna-e-īsār se huī
taḳhlīq-e-kā.enāt bhī sadqa huzūr kā
tazīn-e-kā.enāt bhī sarkār se huī
izzat huī jahāñ meñ 'muzaffar' kī aap se
zar se huī na jubba-o-dastār se huī
jo baat zulm se na hui pyar se hui
tahzib-e-zindagi tere kirdar se hui
jo mehr-o-mah bhi na zamane ko de sake
wo raushni tere dar-o-diwar se hui
imkan ki hadon se pare tak tere qadam
paimaish-e-jahan teri purkar se hui
sahil ki aarzu nahin talim-e-mustafa
ye naw to rozana hi manjdhaar se hui
mazlum ke lahu ka muqaddar bhi jag uTha
us ki bhi qadr aap ki talwar se hui
patthar bhi khae mere rasul-e-karim ne
mearaj-e-haq bhi zina-e-isar se hui
taKHliq-e-kaenat bhi sadqa huzur ka
tazin-e-kaenat bhi sarkar se hui
izzat hui jahan mein 'muzaffar' ki aap se
zar se hui na jubba-o-dastar se hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.