kaisi mohan bansi wajai
kaisī mohan bansī vajā.ī
sunat dhun mohe sudh nahīñ paa.ī
uttam sāvan maas biksat pun kare nar naarī
saath sakhī le mañgal gāvat aadhī rain añdhārī
kaan parī dhun moh layo man ye brijlāl vyahārī
madhur bajāvat raag alāpat gāvat taan salā.ī
bhādo māsmoñ megh gaDāgaḌ Tapkat buñdrī ḳhāsī
rumjhum-rumjhum jhurmuT jhariyā barkhat hai ghanrāsī
oDhi khushāl dushāl piyā sañg ramhī bhogvilāsī
bijlīsī vañsī aa.ī pari mohe madan kumār bhagā.ī
kuñvārī kare siñgār savāro sej pe naath huuñ baiThī
saarī harī chunarī pehrī bhar jīvan nain añgeThī
aayo piyo more lapaT gale mil bolat bāthī mīThī
to suno aao nand kachhu tan man dhan aas chhurā.ī
kārtik māsmoñ goriyā nahāvat kuTilālak savāre
baiThī hatī Dhīgh mātpitājū ke kānan naad nyhāre
bindrāban brajrāj bajāvat bansī nanddulāre
se sunke bha.ī bāvrī chanchal man kachhu sūjat nahīñ
aghanmoñ aghhar barat karat hai pūjat devi kuñvārī
māñgat de bhak janam janam kī de kansh yā banvārī
jamunā jī ke taT nikaT birājat ThāDī bhaye putnārī
saath liyo brijbāl gopāl jayo pitā ghaT kaas soñhā.ī
pūsanmoñ kachhu pūsan paave sir pūran bha.ī hai udāsī
jyā gahyoñ man parbhupāyansoñ grhadhan aas nirāsī
dhun sun murlī kī bikal bhayo man kuñjmeñ jyaay ke niksi
hari bin kachhu nahiñ sūjat yā man bābri bha.i hai lugā.ī
maamo māsmoñ mansij more bājat thaḌ ghanerī
takiya toshak naram nyāhalī kachhu nahiñ lāgat pyārī
maarī aTārike daarī nirkhat nain kunj vyahārī
khaDras mohe mīTho na lāgat bansī chitt churā.ī
phāgan māsmoñ khelat phāgko sab milyā brijnārī
gyaan gulāl aur dhyān abir kī haath li.ī bhar jorī
bhaktī kī rañg surañg balāyorī prem bhare pichkārī
aisī bha.ī matvārī sakhī sab kānhku dekhan aa.ī
chaitanmoñ madhu chitt chitāvat kaami bha.ī mrganainī
aañv ke vanmāñhī kilkat kokil bolat amrit baanī
brajrāj birah kī maarī bha.ī tab mohan lāgsoñ haanī
murli nahī sakhī mohnī daarī naañd sunī lalchā.ī
baishāḳh māsmoñ aa.ī udāsī jhārat jab ruukh paatī
taise huuñ Daar siñgār jo hari bin bharmār aavat chhātī
aadhi rain mohe chain pare nahīñ kuñjmoñ dhūñDan jaatī
bāvrī bha.ī jaisī bijyā saarī suudh gmaa.ī
maas bhaye das hairat bāTke to sakhī jeTh hī aayo
daas udaas ke aas mili begī subh sakunhī dikhāyo
bahuvā phirkat bājuvā laplapke nain chalāvo
aa.ī hutī kahī mosoñ sakhi chal begī kaañh bulā.ī
aa.ī ākhāḌmoñ aas purī man purnāñd bhyorī
yā tan kuñjmoñ shrigurugobind ātmā-rām nyhārī
samras ram kahyo mānrūpmoñ vrtti bha.ī avikārī
'devnāth' parbhu antar bāhir chhāy rahyo sabmāñhī
parbhu sundar murlī bajā.ī yā tanmoñ sab het miThā.ī
kaisi mohan bansi wajai
sunat dhun mohe sudh nahin pai
uttam sawan mas biksat pun kare nar nari
sath sakhi le mangal gawat aadhi rain andhaari
kan pari dhun moh layo man ye brijlal wyahaari
madhur bajawat rag alapat gawat tan salai
bhado masmon megh gaDagaD Tapkat bundri KHasi
rumjhum-rumjhum jhurmuT jhariya barkhat hai ghanrasi
oDhi khushaal dushaal piya sang ramhi bhogwilasi
bijlisi wansi aai pari mohe madan kumar bhagai
kunwari kare singar sawaro sej pe nath hun baiThi
sari hari chunari pehri bhar jiwan nain angeThi
aayo piyo more lapaT gale mil bolat baathi miThi
to suno aao nand kachhu tan man dhan aas chhurai
kartik masmon goriya nahawat kuTilalak saware
baiThi hati Dhigh matpitaju ke kanan nad nyhaare
bindraban brajraj bajawat bansi nanddulare
se sunke bhai bawri chanchal man kachhu sujat nahin
aghanmon aghhar barat karat hai pujat dewi kunwari
mangat de bhak janam janam ki de kansh ya banwari
jamuna ji ke taT nikaT birajat ThaDi bhaye putnari
sath liyo brijbaal gopal jayo pita ghaT kas sonhai
pusanmon kachhu pusan pawe sir puran bhai hai udasi
jya gahyon man parbhupayanson grhadhan aas nirasi
dhun sun murli ki bikal bhayo man kunjmen jyay ke niksi
hari bin kachhu nahin sujat ya man babri bhai hai lugai
mamo masmon mansij more bajat thaD ghaneri
takiya toshak naram nyahali kachhu nahin lagat pyari
mari aTarike dari nirkhat nain kunj wyahaari
khaDras mohe miTho na lagat bansi chitt churai
phagan masmon khelat phagko sab milya brijnari
gyan gulal aur dhyan abir ki hath lii bhar jori
bhakti ki rang surang balayori prem bhare pichkari
aisi bhai matwari sakhi sab kanhku dekhan aai
chaitanmon madhu chitt chitawat kaami bhai mrganaini
aanw ke wanmanhi kilkat kokil bolat amrit bani
brajraj birah ki mari bhai tab mohan lagson hani
murli nahi sakhi mohni dari nand suni lalchai
baishaKH masmon aai udasi jhaarat jab rukh pati
taise hun Dar singar jo hari bin bharmar aawat chhati
aadhi rain mohe chain pare nahin kunjmon dhunDan jati
bawri bhai jaisi bijya sari sudh gmai
mas bhaye das hairat baTke to sakhi jeTh hi aayo
das udas ke aas mili begi subh sakunhi dikhayo
bahuwa phirkat bajuwa laplapke nain chalawo
aai huti kahi moson sakhi chal begi kanh bulai
aai aakhaDmon aas puri man purnand bhyori
ya tan kunjmon shrigurugobind aatma-ram nyhaari
samras ram kahyo manrupmon wrtti bhai awikari
'dewnath' parbhu antar bahir chhay rahyo sabmanhi
parbhu sundar murli bajai ya tanmon sab het miThai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.