Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

awwal yaad karo wastad ki

Eknath

awwal yaad karo wastad ki

Eknath

MORE BYEknath

    avval yaad kaaro vastād

    guru piir paiġhambar aur yaad kaaro kartār

    jinne manDān paidā kiyā hai avval dekho ye kathā use naam na thā

    naam darmyāne paidā huā chal chal chal

    ek so don do so tiin tiin so chaar chaar so pañch

    pañch so pachīs pachīs so chhatīs banāyā hai

    chhatīs bhī ek hayā hai so guru gārūḌī yaad hai

    aur dekho kaisā khel banāyā hai

    chal chal chal krodh vichchu bāher kāḌhā

    us biikH shirkū chāḌhā japu tapī sañnyāsī khoḌ toḌ

    samaj ke dekho re vichhu ne nāñgī maarā re

    chhanan na na kahne lagā chal chal chal ye dekho bāher niklā

    kaam vish saap tamāsha dekho mere baap

    binñdā tosai kaaTe aape aape are re re re kaaTā re kaaTā

    najar dhyān kaaro re najar dhyān kaaro

    so saap duur kare chal chal chal ye dekho mamtā nāgan aa.ī re bhā.ī-bhā.ī

    tine lo Dñkh maarā re maarā Th na na na na

    bhāgo re bhaa.ī bhāgo davḌo re davḌo re gurū ke charan par davḌo

    to aisā karūñ gurū ke paañv kabī na chhoḌo

    vahāñ koī na chale mamtā nāgan jarūr burā hai

    vo kaisī chaltī hai so baḌe-se-baḌe laḌte haiñ

    vo na laḌhe aisī hikmat batā.ūñ tumkū suno re bhaa.ī suno

    gurū piir ke haat mohrā tumhāre haath chaḌh dune daarā

    to nāgan tuTe dhārā so kabī aavne nahīñ paave

    manā manshā saap kaaro shāñtī peTāre me vusuku Dārai re bhaa.ī Daaro

    bāhere to vivek shikkā maaro

    iis dono bhu beku aisā kaaro ke gurū ke charan par

    raat aur din khelo janārdhan guru gārūḌī ke paas

    vhaañ tum kaaro khel khelte-khelte ho jā.egā alaksh āchhel

    ekā hāñDī baag kuñ diyā khelā so ho gayā alas khel

    awwal yaad karo wastad ki

    guru pir paighambar ki aur yaad karo kartar ki

    jinne manDan paida kiya hai awwal dekho ye katha use nam na tha

    nam darmyane paida hua chal chal chal

    ek so don do so tin tin so chaar chaar so panch

    panch so pachis pachis so chhatis banaya hai

    chhatis ka bhi ek haya hai so guru garuDi ki yaad hai

    aur dekho kaisā khel banaya hai

    chal chal chal krodh ka wichchu baher kaDha

    us ka bikH shirku chaDha japu tapi sannyasi ki khoD toD

    samaj ke dekho re wichhu ne nangi mara re

    chhanan na na kahne laga chal chal chal ye dekho baher nikla

    kaam wish ka sap tamasha dekho mere bap

    binnda tosai kaTe aape aape are re re re kaTa re kaTa

    najar dhyan karo re najar dhyan karo

    so sap dur kare chal chal chal ye dekho mamta nagan aai re bhai-bhai

    tine lo Dnkh mara re mara Th na na na na

    bhago re bhai bhago dawDo re dawDo re guru ke charan par dawDo

    to aisa karun ki guru ke panw kabi na chhoDo

    wahan koi ka na chale mamta nagan ka jarur bura hai

    wo kaisi chalti hai so baDe-se-baDe laDte hain

    wo na laDhe aisi hikmat bataun tumku suno re bhai suno

    guru pir ke hat ka mohra tumhaare hath chaDh dune dara

    to nagan ka tuTe dhaara so kabi aawne nahin pawe

    mana mansha sap karo shanti peTare me wusuku Darai re bhai Daro

    bahere to wiwek shikka maro

    is dono bhu beku aisa karo ke guru ke charan par

    raat aur din khelo janardhan guru garuDi ke pas

    whan tum karo khel khelte-khelte ho jaega alaksh aachhel

    eka hanDi bag kun diya khela so ho gaya alas khel

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now