nam-mahatamay ke pad - hari nam bina nar aisa hai jayo jag mein khoTa paisa hai
hari naam binā nar aisā hai jayo jag meñ khoTā paisa hai
dīpak bin mandir jaisā hai
jaise binā purush kī naarī hai jaise puttr binā mahtārī hai
jal binā sarovar jaisā hai hari
jaise shashī bin rajnī soī hai jaise binā namak rasoī hai
ghardhanī binā ghar jaisā hai hari
ThuñThar bin virchh banāyā hai jaise suum sanchrī maaya hai
gunikā ghar puttr jaisā hai hari
'mīrāñ' baa.ī kahe hari meñ milnā jahāñ janm maran ko nahīñ kalnā
bin gurū kā chelā jaisā hai hari
hari nam bina nar aisa hai jayo jag mein khoTa paisa hai
dipak bin mandir jaisa hai
jaise bina purush ki nari hai jaise puttr bina mahtari hai
jal bina sarowar jaisa hai hari
jaise shashi bin rajni soi hai jaise bina namak rasoi hai
ghardhani bina ghar jaisa hai hari
ThunThar bin wirchh banaya hai jaise sum sanchri maya hai
gunika ghar puttr jaisa hai hari
'miran' bai kahe hari mein milna jahan janm maran ko nahin kalna
bin guru ka chela jaisa hai hari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.