apni baat - jagat mein khoj kiya bahu bhant na pai maine ghaT mein shant
jagat meñ khoj kiyā bahu bhāñt na paa.ī maiñ ne ghaT meñ shānt
ġhaur kar dekhā jag kā haal phañse sab karam bharam ke jaal
phail rahe jag meñ mat anek dhaar rahe thothe ishT kī Tek
bhed koi dhar kā nahi jaane bharam bas siikh nahīñ maane
maan meñ khap rahe panDit bhekh karm meñ bañdh rahe mullā shaiḳh
bhaag merā jaagā ajab nidān milā maiñ 'rādhāsvāmī' sañgat aan
sunī maiñ mahimā achraj bol karī maiñ 'rādhāsvāmī' mat kī tol
bharam aur shanshaya uTh bhāge virah anurāg hiye jaage
patā nij mālik kā paayā bhed nij ghar kā darsāyā
samajh meñ aa.ī bhaktī riit shabd kī dhārī man pratīti
surat kā paayā ajab lakhāv sifat sun guru kī bāDhā bhaav
kahūñ kyā mahimāñ satsañg saar bharam aur shanshaya deene Taar
priit nit baḌhtī guru charnā dhaar la.ī man meñ guru sarnā
samajh maiñ man meñ as dhārī sant bin jaay na koi paarī
binā un saran na utre paar shabd bin hoy na kabhī udhār
sarāhūñ chhin chhin bhaag apnā milā mohi surat shabd gahna
huā mere hirde meñ ujiyār dayā rādhāsvāmī kīnah apaar
pakaḌ dhun chaḌhtā nabh kī or jot lakh suntā anhad ghor
sunn dhun sun kar chaḌhī aage guphā meñ jahāñ sohañg jaage
sattput darash purush kīnhā pare tis alakh aagam chīnhā
vahāñ se lakhiyā rādhāsvāmī dhaam milā ab nij ghar kiyā vishrām
jagat mein khoj kiya bahu bhant na pai main ne ghaT mein shant
ghaur kar dekha jag ka haal phanse sab karam bharam ke jal
phail rahe jag mein mat anek dhaar rahe thothe ishT ki Tek
bhed koi dhar ka nahi jaane bharam bas sikh nahin mane
man mein khap rahe panDit bhekh karm mein bandh rahe mulla shaiKH
bhag mera jaga ajab nidan mila main 'radhaswami' sangat aan
suni main mahima achraj bol kari main 'radhaswami' mat ki tol
bharam aur shanshaya uTh bhage wirah anurag hiye jage
pata nij malik ka paya bhed nij ghar ka darsaya
samajh mein aai bhakti rit shabd ki dhaari man pratiti
surat ka paya ajab lakhaw sifat sun guru ki baDha bhaw
kahun kya mahiman satsang sar bharam aur shanshaya deene Tar
prit nit baDhti guru charna dhaar lai man mein guru sarna
samajh main man mein as dhaari sant bin jay na koi pari
bina un saran na utre par shabd bin hoy na kabhi udhaar
sarahun chhin chhin bhag apna mila mohi surat shabd gahna
hua mere hirde mein ujiyar daya radhaswami kinah apar
pakaD dhun chaDhta nabh ki or jot lakh sunta anhad ghor
sunn dhun sun kar chaDhi aage gupha mein jahan sohang jage
sattput darash purush kinha pare tis alakh aagam chinha
wahan se lakhiya radhaswami dham mila ab nij ghar kiya wishram
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.