apni wirah-katha - sawan mas megh ghir aaye garaj-garaj dhun shabd sunaye
sāvan maas megh ghir aaye garaj-garaj dhun shabd sunāye
rim-jhim barpā hovat bhārī hiya bich laagī birah kaTārī
pirītam chhāy rahe pardesā būjhat rahī nahiñ milā sandesa
rain divas rahūñ ati ghabrātī kasak kasak merī kaske chhātī
kaae kahūñ koi dard na būjhai bin piya daras nahīñ kuchh sūjhai
chamke biij taḌap uThe bhārī kas pāūñ piyā parān adhārī
rovat biite din aur raatī dard uThat hiye meñ bahu bhāñtī
DhūñDhat DhūñDhat ban ban Dolī tab 'rādhāsvāmī' kī sun paa.ī bolī
pirītam pyāre kā diyā sandesa shabd pakaḌ jaao us desā
surat shabd mārag darsāyā man aur surat adhar chaDhvāyā
kar satsañg khule hiye nainā pirītam pyāre ke sune vahīñ bianā
jab pahichān mehar se paa.ī pirītam aap guru ban aa.ī
dayā karī mohi añg lagāyā dukh dard sab duur haTāyā
kyā mahimā 'rādhāsvāmī' gā.ūñ tan man vārūñ balbal jā.ūñ
bhāge jage guru charan nihāre ab kahūñ dhan dhan 'rādhāsvāmī' pyāre
sawan mas megh ghir aaye garaj-garaj dhun shabd sunaye
rim-jhim barpa howat bhaari hiya bich lagi birah kaTari
piritam chhay rahe pardesa bujhat rahi nahin mila sandesa
rain diwas rahun ati ghabraati kasak kasak meri kaske chhati
kae kahun koi dard na bujhai bin piya daras nahin kuchh sujhai
chamke bij taDap uThe bhaari kas paun piya paran adhaari
rowat bite din aur raati dard uThat hiye mein bahu bhanti
DhunDhat DhunDhat ban ban Doli tab 'radhaswami' ki sun pai boli
piritam pyare ka diya sandesa shabd pakaD jao us desa
surat shabd marag darsaya man aur surat adhar chaDhwaya
kar satsang khule hiye naina piritam pyare ke sune wahin biana
jab pahichan mehar se pai piritam aap guru ban aai
daya kari mohi ang lagaya dukh dard sab dur haTaya
kya mahima 'radhaswami' gaun tan man warun balbal jaun
bhage jage guru charan nihaare ab kahun dhan dhan 'radhaswami' pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.