Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

apni baat - satguru pure param udara daya drishTi se mohin nihaara

Shaligram

apni baat - satguru pure param udara daya drishTi se mohin nihaara

Shaligram

MORE BYShaligram

    satgurū puure param udārā dayā drishTi se mohiñ nihārā

    duur desh se chal kar aayā darshan kar man ati harkhāyā

    sun sun bachan priit hiya jaagī charan saran meñ sūrat paagī

    karam bharam shanshaya sab bhāgā 'rādhāsvāmī' charan baḌhā anurāgā

    surat shabd mārag darsāyā birah añg le taahi kamāyā

    kul kuTumb moh chhuḌānā satsañgat meñ man Thahrānā

    sumirān bhajan rasīlā laagā sotā man dhun sun kar jaagā

    mehar huī surat nabh par dauḌī tirkutī gur charnan joḌī

    achraj liilā dekhī sun meñ murlī dhun ab paḌī shravan meñ

    pahuñchī phir satgurū darbārā alakh aagam ko jaay nihārā

    vahñ se bhī phir adhar sidhārī mil ga.e 'rādhāsvāmī' purush apārī

    vahñ jaay kar aarat gā.īpūran dayā sāmne paa.ī

    satguru pure param udara daya drishTi se mohin nihaara

    dur desh se chal kar aaya darshan kar man ati harkhaya

    sun sun bachan prit hiya jagi charan saran mein surat pagi

    karam bharam shanshaya sab bhaga 'radhaswami' charan baDha anuraga

    surat shabd marag darsaya birah ang le tahi kamaya

    kul kuTumb ka moh chhuDana satsangat mein man Thahrana

    sumiran bhajan rasila laga sota man dhun sun kar jaga

    mehar hui surat nabh par dauDi tirkuti ja gur charnan joDi

    achraj lila dekhi sun mein murli dhun ab paDi shrawan mein

    pahunchi phir satguru darbara alakh aagam ko jay nihaara

    wahn se bhi phir adhar sidhaari mil gae 'radhaswami' purush apari

    wahn jay kar aarat gaipuran daya samne pai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now