tumhaare ghar pe jo baabaa cha.Dhaa.e jaate hai.n

Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
tumhaare ghar pe jo baabaa cha.Dhaa.e jaate hai.n
vo phuul makke madiine se laa.e jaate hai.n
faqiir apnaa muqaddar banaa.e jaate hai.n
dar-e-fariid pe dhuunii ramaa.e jaate hai.n
nigaah-e-lutf jo baabaa uThaa.e jaate hai.n
har ek Gariib kii big.Dii banaa.e jaate hai.n
ataa ho sadqa kHvaaja-piyaa Gariibo.n ko
sadaa.e.n maa.ngne vaale lagaa.e jaate hai.n
namaaz-e-ishq adaa kar rahe hai.n diivaane
dar-e-fariid pe sar ko jhukaa.e jaate hai.n
sivaa-e-baabaa kisii kii talab nahii.n hai 'fanaa'
ham un ke ishq me.n hastii miTaa.e jaate hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.