phuul cha.Dhaa.e.n
chalo chalo rii sakhii jaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
mulk-e-vilaayat ke maah-paare
kHvaajaa mu'iinuddiin pyaare
jumla muriido.n ke jii sahaare
aaqaa hamaare daataa hamaare
jholiyaa.n bhar bhar laa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
daaG jigar me.n paa.nv me.n chhaale
baadal Gam ke chhaa.e jii kaale
kab tak kare.n fariyaad-o-naale
pyaare valii jii allaah vaale
chalo qissa-e-Gam un ko sunaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
dar se kisii ko KHaalii na pheraa
meraa bhii daaman bhar diijiye aaqaa
aap saKHii hai.n aap hai.n daataa
jabki ho jaarii faiz kaa dariyaa
na kyuu.n phir faiz uThaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
un ke mubaarak rauza pe jaa kar
rauze ke ird-gird chakkar lagaa kar
phir Gam kaa un ko qissaa sunaa kar
chaukhaT par un kii sar ko jhukaa kar
un par fidaa ho jaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
un ke dar par nuur se KHaalii
jaataa nahii.n hai ko.ii savaalii
un kaa 'ajab darbaar hai 'aalii
thaam ke un ke rauze kii jaalii
dil kaa haal sunaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
bhuule.n 'anaadil saarii bahaare.n
un ke gul-ruKHsaar jo dekhe.n
allaahu-akbar baaG-e-jahaa.n me.n
phuul se mu.nh kaa zikr jo sun le.n
phuul bhii sharmaa jaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
tumaraa 'nadiimii' kHvaajaa pyaare
aan pa.Daa hai tumre dvaare
hasht-nagar ke raaj dulaare
ab to jagaa do bhaag hamaare
dil kii muraade.n paauu.n
phuul cha.Dhaa.e.n
chalo chalo rii sakhii jaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
mulk-e-vilaayat ke maah-paare
kHvaajaa mu'iinuddiin pyaare
jumla muriido.n ke jii sahaare
aaqaa hamaare daataa hamaare
jholiyaa.n bhar bhar laa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
daaG jigar me.n paa.nv me.n chhaale
baadal Gam ke chhaa.e jii kaale
kab tak kare.n fariyaad-o-naale
pyaare valii jii allaah vaale
chalo qissa-e-Gam un ko sunaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
dar se kisii ko KHaalii na pheraa
meraa bhii daaman bhar diijiye aaqaa
aap saKHii hai.n aap hai.n daataa
jabki ho jaarii faiz kaa dariyaa
na kyuu.n phir faiz uThaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
un ke mubaarak rauza pe jaa kar
rauze ke ird-gird chakkar lagaa kar
phir Gam kaa un ko qissaa sunaa kar
chaukhaT par un kii sar ko jhukaa kar
un par fidaa ho jaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
un ke dar par nuur se KHaalii
jaataa nahii.n hai ko.ii savaalii
un kaa 'ajab darbaar hai 'aalii
thaam ke un ke rauze kii jaalii
dil kaa haal sunaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
bhuule.n 'anaadil saarii bahaare.n
un ke gul-ruKHsaar jo dekhe.n
allaahu-akbar baaG-e-jahaa.n me.n
phuul se mu.nh kaa zikr jo sun le.n
phuul bhii sharmaa jaa.e.n
phuul cha.Dhaa.e.n
tumaraa 'nadiimii' kHvaajaa pyaare
aan pa.Daa hai tumre dvaare
hasht-nagar ke raaj dulaare
ab to jagaa do bhaag hamaare
dil kii muraade.n paauu.n
phuul cha.Dhaa.e.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.