Font by Mehr Nastaliq Web

pem kahaanii

Dost Muhammad Abulolai

pem kahaanii

Dost Muhammad Abulolai

MORE BYDost Muhammad Abulolai

    Interesting Fact

    آخری کے تین اشعار تذکرہ شعرائے مراٹھواڑہ سے لیا گیا ہے۔

    pem kahaanii kahat huu.n suno sakhii tum aa.e

    pii Dhuu.nDhan kuu.n hau.n ga.ii aa.ii aap ga.nvaa.e

    pem kahaanii bikh bharii mat suniyo ko.uu aa.e

    baatan-baatan bikh jhare dekhat hii ghar jaa.e

    pem galii ati sa.nkrii pii bin kuchh na samaa.e

    tan-man chho.D jab aa.e to piih paayaa jaa.e

    pemnagar muu.n aa.e ke sudh-budh se rahe kaun

    sudh-budh yuu.n ghul jaat hai juu.n paanii mai.n nuun

    pem-nagar me.n aa.e ke jivraa niksaa jaa.e

    arii sakhii kuchh piih kii baat kaho Tuk aa.e

    pem kahaanii kaThin hai kahe kaun uTh aa.e

    baat kahii jiv let hai mukh pak.Dat hii dhaa.e

    muu sir dukh muu suu.n paryuu.n juu mai.n naa.nh tuu naa.nh

    saa.ii.n moh uThaa.e le jo moh naahii.n naa.nh

    bhalaa hu.aa har bisrii sir kii ga.ii balaa.e

    jaisii thii taisii bha.ii ab kuchh kahii na jaa.e

    jo dukhraa moh sir paryo so kaahuu kii naa.nh

    kabhuu pilaave pem ras kabhuu ki bikh chhur maa.nh

    akath kathaa hai pem kii kahe banat kuchh naa.nh

    jaa tan laage nehraa so buujhii man maa.nh

    chaatur chaahan raag gun muurakh it tarsaa.nh

    bhogii maa.nge chopa.Dii ruukhii ruukhaa khaa.nh

    paatii aa.i piih kii chhaatii umgii jaa.e

    maalaa TuuTii a.ng muu.n cholii tan na samaa.e

    aag lago vaa des re biij paro te Thaa.nv

    jahaa.n na charchaa neh kaa leh na piih kaa naau.n

    laaj bhaaj muu suu.n ga.ii jaa din laago neh

    baurii huu.n daurii phiruu.n sar muu Daarii.n kheh

    tan-man muu.n khal-bal pa.Dii chubhii birah kii phaa.ns

    haa.D maa.ns do.uu gale dhaay chale hai saa.ns

    ai man khale baavre buu.n puuchhat huu.n tuuh

    kin birhan eto kyokhi kin khovyo moh

    ai bai-raagii jivre kahaa lagau tohe aa.e

    ren-dinaa bekal rahii apnaa maas tuu khaa.e

    naahar piih kuu niihraa man muu.n baiThaa aa.e

    baahar bhiitar piyo bin jo paave suu khaa.e

    jor karat hai niihraa sakhii kaho kit jaa.uu.n

    naa.nv na jaanuu.n gaa.nv kaa jahaa.n sajan kuu Thaav.n

    naa jaanuu.n ye jivraa kaa suun laagyo jaa.e

    mohan Tuk aavat nahii.n rahii huu.n haahaa khaa.e

    sun rii nehii baavrii kaachii-paakii chho.D

    vaa kaun kaise paa.e jaasuu.n chale na jor

    le kyuu.n jaa.uu.n maTkiyaa saarii maarak ro kuu aa.e

    tanik laaj nahii.n baabanvaa rii gauu ras let chhinaa.e

    le kyuu.n jaa.uu.n gagariyaa bhaarii mohan pakrat baa.nh

    dahii duudh sab liyaa ke khe.nchat hai ban maa.nh

    chhatiyaa.n aa.e.n uma.ng ke a.ngiyaa chhoTii jaa.e

    man mero aisin kahe jo mohan nikse aa.e

    suutii thii sukh-chain suu.n ghar muu.n paa.nv pasaar

    mohan moh jagaa.e ke pherat duuraa dvaar

    jiyuu.n suuraj mukh jaat hai ghar-baahar kii chhaa.nh

    tyuu.n merii sudh jaat hai ye mukh dekhii maa.nh

    jor karat hii niihraa bojh parat kuchh naa.nh

    naa jaanuu.n mai.n ii sakhii kit dharat man maa.nh

    birah biich moh sar par yuu tan-man jal bhayo kheh

    huu.n bavrii kyaa jaantii yaako kahat hai.n neh

    saa.ns leii.n nahii.n det hai chhin-chhin birahaa aa.e

    ab un bin huu.n naa rihyuu.n jivraa niksaa jaa.e

    sudh-budh taa din suu.n ga.ii jaa din dekhii naa.nh

    cholii darkii a.ng muu.n jab gah pak.Dii baa.nh

    sudh-budh tan-man muu.n ga.ii nainan suu.n ga.ii laaj

    haath dho.e paachhe pariyo maa.ii mohan aaj

    batherii.n aklii.n guu.ndh ke nainan kaajal deh

    tan-man duudh bahaar ke saajan suu.n sukh leh

    maa.ng sa.nvaarii neh suun ka.nghii kar guu.ndhe baal

    gahnaa pahrii a.ng bhar kap.De pahne laal

    paa.el baaje.n baat muu.n aur ghu.ngruu jhankaa.nh

    liye du.ii duukh ham sar parii pyuu bin kaisii jaanah

    gauu charaavat phirat hai nit uTh jamunaa tiir

    nis dukh chhan-chhan det hai chanchal nipaT ahiir

    ren-dinaa dekhat rahii.n to-uu dii.th na chain

    nain Tuk na aghaat hai.n juu.n bhuukii be-chain

    birhaa.e suun ai sakhii nipaT kaThin banii aa.e

    dekhe tan-man naa bhare jin dekhiye jiyo jaa.e

    laakhan a.nkhiyaa.n jise juu dekhuu.n sab se pii

    dekhat-dekhat mar miTuu.n to.uu bhare naa jii

    ren-dinaa ghere rahii.n ik chhan det na chain

    yaa mohan kii haath suu.n paro moh jii dain

    nain aa.e naath me.n maathe tevrii laa.e

    muu kuu kuchh sudh naa.nh chuuk kahaa parii aa.e

    dhar-dhar hiyraa karat hai sar-sar jivraa jaa.e

    dhar-dhar suu.n dukh sar parii birhan kii sar aa.e

    dhar-dhar hiyraa karat hai dhiir nahii.n ko.uu det

    niih sajan kaa piiTh man maar maar jiih let

    pem laaj sab uTh ga.ii sunat birah ke bain

    piitam kii darsan binaa thar-thar karii.n do.uu nain

    ghar-baahar bhar niihraa muu ko raho na Thaav.n

    tan-man me.n mohan base rah gayo meraa naa.nv

    aaj na dekhaa laal kuu haal hamaaraa aur

    chubhii birah kii bhaal dukh ke dauraa daur

    ai rii sakhii baa.ngar muu.n man mero liyo moh

    mohan hai yaa Dagar muu.n nahii.n kahat rahii.n toh

    man mero liyo moh sii.n phir ghuurt hai moh

    are are mohan baavre kachhu laaj hai toh

    piit kii riit ko.uu riit hai mat marda.uu lo naa.nv

    bhuule mat jaav re kaa.nTe hai.n tah Thaav.n

    juulii nikasat ra.ng suu.n a.ngiyaa.n chhuu.ii jaa.e

    man bairaa vaa se kah mohan niksai aa.e

    ga.nvaa.e paiham kahaanii bas bahre mat suno ko.ii aa.e

    baato.n baato.n bas jab.De dekhat hai gauhar jaa.e

    paiham kalii raat saa.ngrii piyau.n kuchh na samaa.e

    tan-man jhara.D jo us ke to.ii aayaa jaa.e

    Source :
    • Book : Najat-e-Qasim (Pg. 192)
    • Author : Shah Qasim Danapuri
    • Publication : Ashraf-ul-Akhbar, Agra (1857)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now