Font by Mehr Nastaliq Web

zulf kaa zikr ho yaa tazkira ho shaane kaa

Nazar Azimabadi

zulf kaa zikr ho yaa tazkira ho shaane kaa

Nazar Azimabadi

MORE BYNazar Azimabadi

    zulf kaa zikr ho yaa tazkira ho shaane kaa

    hogaa 'unvaan magar mere hii afsaane kaa

    sajda-gah ahl-e-KHirad ke liye ho jaatii hai

    paa.nv pa.D jaataa hai jis jaa kisii diivaane kaa

    hosh vaalo.n ko charaaG-e-sar-e-manzil hai 'nazar'

    ek Tuk.Daa jo hai baaqii mire paimaane kaa

    Source :
    • Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 77)
    • Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now