bhed ki baat ahad ahmad ki ab to humne pai re

bhed ki baat ahad ahmad ki ab to humne pai re
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
bhed kī baat ahad ahmad kī ab to ham ne paa.ī re
ahad thā tab aap thā aur na thā koī sāthī re
aapī ahmad ban ban aayā miim kī Taa.ī lagā.e re
anhad baajā bājan laagā ab to parat sunā.ī re
apnā naam aapī let hai aap bajāvat naa.ī re
aapī chor aapī saah hai aapī baap aur maa.ī re
samundar buuñd meñ Dupkī khaa.e bal be terī samā.ī re
aapī 'ḳhādim' aapī safī hai kaisī baat banā.ī re
jab se bha.ī satgur kī kirpā yahī to det dikhā.ī re
bhed ki baat ahad ahmad ki ab to hum ne pai re
ahad tha tab aap tha aur na tha koi sathi re
aapi ahmad ban ban aaya mim ki Tai lagae re
anhad baja bajan laga ab to parat sunai re
apna nam aapi let hai aap bajawat nai re
aapi chor aapi sah hai aapi bap aur mai re
samundar bund mein Dupki khae bal be teri samai re
aapi 'KHadim' aapi safi hai kaisi baat banai re
jab se bhai satgur ki kirpa yahi to det dikhai re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.