chha rahi udi ghaTa jiyra mora ghabrae hai
chhā rahī uudī ghaTā jiyrā morā ghabrā.e hai
sun rī koyal bāvrī tū kyuuñ malhāreñ gaa.e hai
o papīhā aa idhar maiñ bhī sarāpā dard huuñ
aam par kyuuñ jam gayā maiñ bhī to vaisī zard huuñ
farq itnā hai ki us meñ ras hai mujh meñ haaye hai
haaye vo kyuuñ chal diye mujh ko akelā chhoḌ kar
ye bhī na sochā ki ye mar jā.egī dam toḌ kar
aise bedardī kā dil lohe se Takkar khaa.e hai
chhā rahī uudī ghaTā jiyrā morā ghabrā.e hai
kyā ye bīmār-e-alam is dard se bach pā.egā
yā ki ġham khā khā ke ye furqat hī meñ mar jā.egā
kuchh to bolo ai masīhā kyā tumhārī raa.e hai
chhā rahī uudī ghaTā jiyrā morā ghabrā.e hai
o papīhā chup bhī rah bas kar ḳhudā ke vāste
rain aadhī ho ga.ī kyā ho gayā zālim tujhe
tere pī-pī kahne se vo bevafā yaad aa.e hai
chhā rahī uudī ghaTā jiyrā morā ghabrā.e hai
choñch sone se mañDhā duuñ terī panchhī aa udhar
merī pattiyāñ pī ko de aur pī kī lā de tū ḳhabar
kahiyo bairaniyā se kyuuñ morā jiyā kalsā.e hai
chhā rahī uudī ghaTā jiyrā morā ghabrā.e hai
kyuuñ na kosūñgī piyā 'muztar' tumhārī bhuul ko
apnī sejoñ par na rakhā mā rañgīle phuul ko
tum na aa.e bagiyā meñ rut aa.e hai rat jaaye hai
chhā rahī uudī ghaTā jiyrā morā ghabrā.e hai
chha rahi udi ghaTa jiyra mora ghabrae hai
sun ri koyal bawri tu kyun malhaaren gae hai
o papiha aa idhar main bhi sarapa dard hun
aam par kyun jam gaya main bhi to waisi zard hun
farq itna hai ki us mein ras hai mujh mein haye hai
haye wo kyun chal diye mujh ko akela chhoD kar
ye bhi na socha ki ye mar jaegi dam toD kar
aise bedardi ka dil lohe se Takkar khae hai
chha rahi udi ghaTa jiyra mora ghabrae hai
kya ye bimar-e-alam is dard se bach paega
ya ki gham kha kha ke ye furqat hi mein mar jaega
kuchh to bolo ai masiha kya tumhaari rae hai
chha rahi udi ghaTa jiyra mora ghabrae hai
o papiha chup bhi rah bas kar KHuda ke waste
rain aadhi ho gai kya ho gaya zalim tujhe
tere pi-pi kahne se wo bewafa yaad aae hai
chha rahi udi ghaTa jiyra mora ghabrae hai
chonch sone se manDha dun teri panchhi aa udhar
meri pattiyan pi ko de aur pi ki la de tu KHabar
kahiyo bairaniya se kyun mora jiya kalsae hai
chha rahi udi ghaTa jiyra mora ghabrae hai
kyun na kosungi piya 'muztar' tumhaari bhul ko
apni sejon par na rakha ma rangile phul ko
tum na aae bagiya mein rut aae hai rat jaye hai
chha rahi udi ghaTa jiyra mora ghabrae hai
- Book : Khirman Part-3 (Pg. 378)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.