hori- sadho bhaosagar mein kal hori kheli
sādho bhaosāgar meñ kaal horī khel.ī
bhāñti-bhāñti ke rañg liye kar
karat jīvan kī ghaat
būḌhā-bāl kachhū na dekhai
dekhai din nahiñ raat
nishchay maut liye sañg raanī
naanā rañg samhār
baDe-baDe abhimānī naamī
so bhī liine maar
suur chañdavā bhay te kāñpe
sovarg māhiñ sab dev
tanudhārī sabhī tharrāne
gyānī jānat bhev
aapan ko dehī nahiñ maane
jaane aatam sāñch
charandās kahae 'sahjo' baa.ī
taahi na aavai aañch
sadho bhaosagar mein kal hori kheli
bhanti-bhanti ke rang liye kar
karat jiwan ki ghat
buDha-baal kachhu na dekhai
dekhai din nahin raat
nishchay maut liye sang rani
nana rang samhaar
baDe-baDe abhimani nami
so bhi line mar
sur chandawa bhay te kanpe
sowarg mahin sab dew
tanudhaari sabhi tharrane
gyani jaanat bhew
aapan ko dehi nahin mane
jaane aatam sanch
charandas kahae 'sahjo' bai
tahi na aawai aanch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.