dil me.n paidaa irti’aash-e-Gam hu.aa
dil me.n paidaa irti'aash-e-Gam hu.aa
yuu.n suKHan-gashta ba-chashm-e-nam hu.aa
assalaam ai rahmatul-lil-'aalamii.n
assalaam ai sabz-gumbad ke makii.n
assalaam ai rahnumaa-e-qudsiyaa.n
assalaam ai kaar-saaz-e-be-kasaa.n
assalaam ai mursilo.n ke taajdaar
assalaam ai 'aajizo.n ke Gam-gusaar
be-navaa.o.n ko zar-afshaa.n kar diyaa
tuu ne kaa.nTo.n ko gulistaa.n kar diyaa
terii rahmat hai muhiit-e-bahr-o-bar
meraa daamaan-e-tamannaa muKHtasar
hai tirii aqsaa-e-do-'aalam me.n dhuum
mere dil me.n aarzuu.o.n kaa hujuum
be-navaa.o.n aur Gariibo.n ke habiib
faariG-ul-baalii mujhe bhii ho nasiib
dard se labrez paimaana miraa
aa.nsu.o.n kaa haar nazraana miraa
sarvarii haasil tujhe kaunain kii
sarmadiyyat de mujhe daarain kii
vus'ate.n baKHshii.n mujhe idraak ne
phuul barsaa.e KHas-o-KHaashaak ne
ik faqiir-e-be-navaa ko ai 'samar'
yaad farmaayaa shah-e-laulaak ne
dil me.n paidaa irti'aash-e-Gam hu.aa
yuu.n suKHan-gashta ba-chashm-e-nam hu.aa
assalaam ai rahmatul-lil-'aalamii.n
assalaam ai sabz-gumbad ke makii.n
assalaam ai rahnumaa-e-qudsiyaa.n
assalaam ai kaar-saaz-e-be-kasaa.n
assalaam ai mursilo.n ke taajdaar
assalaam ai 'aajizo.n ke Gam-gusaar
be-navaa.o.n ko zar-afshaa.n kar diyaa
tuu ne kaa.nTo.n ko gulistaa.n kar diyaa
terii rahmat hai muhiit-e-bahr-o-bar
meraa daamaan-e-tamannaa muKHtasar
hai tirii aqsaa-e-do-'aalam me.n dhuum
mere dil me.n aarzuu.o.n kaa hujuum
be-navaa.o.n aur Gariibo.n ke habiib
faariG-ul-baalii mujhe bhii ho nasiib
dard se labrez paimaana miraa
aa.nsu.o.n kaa haar nazraana miraa
sarvarii haasil tujhe kaunain kii
sarmadiyyat de mujhe daarain kii
vus'ate.n baKHshii.n mujhe idraak ne
phuul barsaa.e KHas-o-KHaashaak ne
ik faqiir-e-be-navaa ko ai 'samar'
yaad farmaayaa shah-e-laulaak ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.