tal'at-e-mehr-e-hudaa sub.h-e-sa'aadat ko salaam

Abdul Aziz Dabbagh
MORE BYAbdul Aziz Dabbagh
tal'at-e-mehr-e-hudaa sub.h-e-sa'aadat ko salaam
aap kii miilaad ko yaum-e-vilaadat ko salaam
'azmat-e-Gaar-e-hiraa aur us kii rif'at ko salaam
aamad-e-jibriil ko aaqaa kii be'sat ko salaam
servar-e-kaunain kii KHatm-e-nubuvvat ko salaam
aap kii me'raaj ko auj-e-risaalat ko salaam
un ke lutf-o-juud kii be-paayaa.n vus'at ko salaam
jo muhiit-e-do-jahaa.n hai abr-e-rahmat ko salaam
aap kii taKHliiq ummat kii mashaqqat ko salaam
aur du'aa-e-baKHshish-e-taqsiir-e-ummat ko salaam
us kii hurmat ke liye juhd-e-hidaayat ko salaam
roz-e-mahshar apnii ummat kii shafaa.at ko salaam
dil ke taale to.D detaa jo bayaan-e-jaa.n-faroz
aap kii is dilrubaa dil-aaz daa'vat ko salaam
un ke qalb-e-paak par naazil hu.ii jo 'arsh se
is jahaa.n-afroz quraa.n kii tilaavat ko salaam
aap kii taskiin-e-jaa.n thii jis kii tartiil-e-nuzuul
is payaam shauq kii har ek aayat ko salaam
jis se sharh-e-sadr kaa qulzum hu.aa tuufaa.n ba-dosh
lahja-e-lahn-e-nabii kii us halaavat ko salaam
un ke dar par kii agar tauba to ho jaa.e qabuul
pyaare aaqaa se KHudaa kii us mohabbat ko salaam
ai KHudaa pyaare nabii kii sab du'aa.o.n par duruud
sub.h-e-taa'miir-e-jahaan-e-nau kii tal'at ko salaam
ho gayaa jis se daraKHshaa.n baatin-e-insaaniyat
aap ke nuur-e-faroG-e-'ilm-o-hikmat ko salaam
jis ke har pahluu me.n thaa lutf-e-ilaahii jalva-gar
paikar-e-aKHlaaq-e-rabbaanii kii siirat ko salaam
jis se har zii-ruuh ke dil ko sukuu.n milne laggaa
aap kii maKHluuq se be-paayaa.n shafqat ko salaam
jis kii KHushbuu se damak uThtaa hai phuulo.n kaa vujuud
us pasiine ke muqaddas nuur-e-nik.hat ko salaam
hai ravaa.n jo chashma-e-zamzam me.n shaamil aaj bhii
us lu'aab-e-paak kii be-paayaa.n barakat ko salaam
ne'mat-e-har-do-jahaa.n vo nigh-e-lutf-o-iltifaat
pyaare aaqaa aap kii chashm-e-'inaayat ko salaam
mo.jazan us se rago.n me.n ik bahaar-e-jaavedaa.n
gulshan-e-yaad-e-nabii kii pyaarii jannat ko salaam
mahfil-e-hastii kii har saut-e-sataa.ish par duruud
nuur me.n bhiige hue har harf-e-mid.hat ko salaam
shaan-e-paiGambar ke har lahje kii KHushbuu kii amii.n
daaman-e-har-gul me.n raqsaa.n mauj-e-nik.hat ko salaam
phir sabaa aa kar mirii aa.nkho.n se shabnam le ga.ii
zaa.ir-e-shahr-e-nabii kii us 'inaayat ko salaam
jo barastaa hai mirii aa.nkho.n se saavan kii tarah
rauza-e-sarkaar par ashk-e-nadaamat ko salaam
zar-fishaa.n hotaa hai iimaa.n un kii nisbat ke tufail
ahl-e-bait-e-paak ko aaqaa kii 'itrat ko salaam
Dhuu.nDhtaa hai harf-e-mid.hat kahkashaa.o.n me.n qalam
aasmaa.n par us kii parvaaz-e-fasaahat ko salaam
lauh-e-dil pe aaj barsaa hai 'aziiz abr-e-kalaam
harf-e-tasliim-e-Gulaam aur us kii qismat ko salaam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.