shah-e-dosaraa lo hai tum ko salaam
shah-e-dosaraa lo hai tum ko salaam
habiib-e-KHudaa lo hai tum ko salaam
o mahbuub haq ke o pyaare KHudaa ke
o dil kii davaa lo hai tum ko salaam
KHudaa kah rahaa thaa ye me.araaj kii shab
mere mustafaa lo hai tum ko salaam
biThaa le.n tumhe.n dil me.n aa.nkho.n me.n apnii
in armaano.n kaa lo hai tum ko salaam
vo ruu-e-mubaarak hai haq jis pe shaidaa
dikhaa do zaraa lo hai tum ko salaam
nikal aayaa parda se israa kii shab haq
ye kahtaa hu.aa lo hai tum ko salaam
adab se kha.Daa dast-basta hai 'Gausii'
o dil kii davaa lo hai tum ko salaam
shah-e-dosaraa lo hai tum ko salaam
habiib-e-KHudaa lo hai tum ko salaam
o mahbuub haq ke o pyaare KHudaa ke
o dil kii davaa lo hai tum ko salaam
KHudaa kah rahaa thaa ye me.araaj kii shab
mere mustafaa lo hai tum ko salaam
biThaa le.n tumhe.n dil me.n aa.nkho.n me.n apnii
in armaano.n kaa lo hai tum ko salaam
vo ruu-e-mubaarak hai haq jis pe shaidaa
dikhaa do zaraa lo hai tum ko salaam
nikal aayaa parda se israa kii shab haq
ye kahtaa hu.aa lo hai tum ko salaam
adab se kha.Daa dast-basta hai 'Gausii'
o dil kii davaa lo hai tum ko salaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.