salaam un ko jo kaa'be kii ziyaarat kar ke aa.e hai.n

Habeeb Naqshbandi
MORE BYHabeeb Naqshbandi
salaam un ko jo kaa'be kii ziyaarat kar ke aa.e hai.n
salaam un ko jo laakho.n barkate.n bhii saath laa.e hai.n
salaam un ko tavaaf-e-kaa’ba kii jin ko milii daulat
salaam un ko jinho.n ne sar vahaa.n apne jhukaa.e hai.n
salaam un ko jo aa.e dekh kar hai.n gumbad-e-kHazraa
salaam un ko shafaa'at kii jo dastaavez laa.e hai.n
'habiib' ai kaash phir vo din ho ham jaa.e.n madiine ko
yahii din-raat ab allaah se ham lau lagaa.e hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.