Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mustafaa mustafaa mujtabaa yaa nabii tum pe paiham daruud tum pe paiham salaam

Habibullah Saghar Warsi

sab rasuulo.n me.n hai aap ko bartarii tum pe paiham daruud tum pe paiham salaam

sab se ’aalaa-o-uulaa tumhaaraa maqaam ne.amate.n haqq-e-ta'ala kii tum par mudaam

marhabaa marhabaa aap kii bartarii tum pe paiham daruud tum pe paiham salaam

qaab-qausain tak bhii ga.e ho na.iim rab ne tum ko pukaaraa ra.uuf-urrahiim

tum ne paalii hai me.araaj kii bartarii tum pe paiham daruud tum pe paiham salaam

Gaib kaa ilm tum par ayaa.n hai huzuur jag me.n saanii tumhaaraa nahii.n hai huzuur

tum ho jis kii taraf us kii big.Dii banii tum pe paiham daruud tum pe paiham salaam

apnii big.Dii bane haadii-e-do-jahaa.n sun lo fariyaad ye dastgiir-e-zamaa.n

yuu.n hii qaa.em rahe tum se vaabastagii tum pe paiham daruud tum pe paiham salaam

aazmaa.ish kii 'saaGar' pe hai ye gha.Dii us kii imdaad ko aa.iye yaa nabii

tum ho raazii to raazii hai allaah bhii tum pe paiham daruud tum pe paiham salaam

Source :
  • Book : Surood-e-Asfia (Pg. 239)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now