karbalaa ke dilaavar pe laakho.n salaam
karbalaa ke dilaavar pe laakho.n salaam
Habibullah Saghar Warsi
MORE BYHabibullah Saghar Warsi
karbalaa ke dilaavar pe laakho.n salaam
us ke nuuraanii paikar pe laakho.n salaam
jis ne sar de ke islaam zinda kiyaa
vo jo naanaa kii ummat kii KHaatir luTaa
us husain-ibn-e-haidar pe laakho.n salaam
ab bhii sahraa me.n guu.njii hai jis kii azaa.n
us kaa saanii husain ab milegaa kahaa.n
aise be-misl safdar pe laakho.n salaam
sabr se jis ke pathar ta.DaKH jaa.e.nge
ruuh ke aa.iine bhii chaTaKH jaa.e.nge
aise saabir pe servar pe laakho.n salaam
jis kaa rutba hai kaun-o-makaa.n me.n ba.Daa
diin kaa peshvaa jis ko maanaa gayaa
aise nuuraanii paikar pe laakho.n salaam
jis ke haatho.n kii meh.ndii bhii utri na thii
jis ke jo.De kii KHushbuu bhii bikhrii na thii
us sakiina kii chaadar pe laakho.n salaam
le ke mashkiiza paanii jo laane ga.e
tiir khaa kar vo ’abbaas 'saaGar' gire
un kii jur.at pe jauhar pe laakho.n salaam

- Book : Surood-e-Asfia (Pg. 240)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.