zaa.iro 'arz karo jab shah-e-ziishaa.n ko salaam

Hameed Siddiqui Lakhnavi
MORE BYHameed Siddiqui Lakhnavi
zaa.iro 'arz karo jab shah-e-ziishaa.n ko salaam
ham Gariibo.n kaa bhii sultaan-e-Gariibaa.n ko salaam
pesh karnaa ba-kamaal-e-adab-o-shauq-e-niyaaz
qibla-e-ahl-e-vafaa kaa'ba-e-iimaa.n ko salaam
yaad rakhnaa haram-e-paak ke jaane vaalo
is gunahgaar kaa bhii rahmat-e-yazdaa.n ko salaam
bhuul jaanaa na kahii.n vaqt-e-tilaavat lillaah
mahbat-e-ruu-e-amii.n haamil-e-qur.aa.n ko salaam
kHvaab-gaah-e-shah-e-kaunain pe har lahza duruud
sahar-o-shaam mire haasil-e-iimaa.n ko salaam
gosha-gosha pe shabistaan-e-risaalat ke duruud
rauza-o-mimbar-o-mehraab-e-daraKHshaa.n ko salaam
qaba-e-nuur pe hote hai.n jo qurbaa.n hama-shab
un sitaaro.n ko salaam us mah-e-taabaa.n ko salaam
jis se hotii hai.n mirii hijr kii raate.n raushan
haram-e-quds kii us sham’-e-shabistaa.n ko salaam
farsh-e-paa rahtii hai jo sehn-e-haram me.n har-suu
us shab-e-maah ko us sub.h-e-daraKHshaa.n ko salaam
jis se raushan hue dil ham se siyah-kaaro.n ke
us dar-e-paak kii qindiil-e-firozaa.n ko salaam
gumbad-e-sabz kaa har-ros jo kartii hai.n tavaaf
un shu'aa.o.n ko aur us mehr-e-daraKHshaa.n ko salaam
rauza-e-kHuld me.n jo mahv-e-'ibaadat ho.nge
un ke husn-e-nazar-o-chehra-e-taabaa.n ko salaam
dar-e-aqdas pe jo masruuf-e-guhar-baarii ho
nigah-e-shauq kaa us diida-e-giryaa.n ko salaam
vo jo ehsaas-e-nadaamt se ho tuufaa.n ba-kanaar
DabDabaa.ii hu.ii us chashm-e-pashemaa.n ko salaam
gum jo ho jalva-e-be-ra.ng ke nazzaare me.n
dil-e-mushtaaq kaa us diidan-e-hairaa.n ko salaam
baa-sad iKHlaas-o-ba-andaaz-e-Gulaamii kahnaa
haram-e-paak ke har-KHaadim-o-darbaa.n ko salaam
dil ko dil chashm-e-tavajjoh se banaayaa jis ne
dil se us raahbar-e-manzil-e-’irfaa.n ko salaam
jin ko haasil hai sharaf aap kii paa-bosii kaa
un galii-kuucho.n ke zarraat-e-darakHshaa.n ko salaam
jo phiraa karte hai.n masto.n kii tarah galiyo.n me.n
un sagaan-e-balad-e-shaah-e-rasuulaa.n ko salaam
nigah-e-sarvar-e-kaunain pa.Dii hai jis par
us rah-o-manzil-o-kohsaar-o-bayaabaa.n ko salaam
ik nazar koh-e-uhud par marii KHaatir pahle
phir usii vaadii-e-firdaus-e-ba-damaa.n ko salaam
mahv-e-aaraam hai.n jis KHaak pe as.haab-e-uhad
ek mahjuur kaa us ganj-e-shahiidaa.n ko salaam
kaif-o-mastii me.n faraamosh na ho.n ahl-e-baqii'
jumla as.haab-e-shahanshaah-e-rasuulaa.n ko salaam
jis me.n har lahza mahaktii hai nasiim-e-rahmat
us gulistaa.n ko salaam ahl-e-gulistaa.n ko salaam
ra.ng-o-nik.hat pe shamiim-e-chaman-e-kHuld nisaar
Guncha-o-laala-o-gul sumbul-o-raihaa.n ko salaam
jis me.n hai KHuld dar-aaGosh qubaa kii masjid
us KHayaabaa.n ko salaam us chamanistaa.n ko salaam
saaz-e-dil guu.nj uThaa kaif-e-navaa-sanjii se
chaman-e-taiba ke murGaan-e-KHush-alhaa.n ko salaam
jin ke sadqe me.n KHalish hotii hai ab tak dil me.n
sa.ng-rezo ko aur un KHaar-e-muGiilaa.n ko salaam
jazba-e-shauq ke 'aalam me.n zaraa yaad rahe
qaafile vaalo.n ko aur un ke hudii-KHvaa.n ko salaam
mast-o-sarshaar nazar aa.e.n jo kuchh naaqa-savaar
un ke bikhre hu.e gesuu-e-pareshaa.n ko salaam
jis jagah karte hai.n hujjaaj pahu.nch kar manzil
un maqaamaat ko un koh-o-bayaabaa.n ko salaam
paa-pyaada jo mile raah me.n diivaana-e-shauq
us Gariib-ul-vatan-o-be-sar-o-saamaa.n ko salaam
Gaaza-e-kHaak-e-rah-e-shauq ho jis ke ruKH par
us ke zauq-e-talab-o-ra.ng-e-pareshaa.n ko salaam
naa't pa.Dhtaa hu.aa mil jaa.e jo ko.ii yamanii
Gaa.ebaana miraa us mast-o-Gazal-KHvaa.n ko salaam
rahmat-e-haq se muyassar ho.n vo din kaash 'hamiid'
KHud kare.n 'arz shahanshaah-e-rasuulaa.n ko salaam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.