jitne bhii hai.n Gulaam shahanshaah-e-karbalaa
Interesting Fact
سلام بہ بارگاہ حضرت امام حسین (کربلا-عراق)
jitne bhii hai.n Gulaam shahanshaah-e-karbalaa
sab kaa tumhe.n salaam shahanshaah-e-karbalaa
pii-o-javaa.n sabhii to tah-e-dil se aap kaa
karte hai.n ehtiraam shahanshaah-e-karbalaa
phir kyuu.n na bandagii ko imaamat pe naaz ho
jab aap hai.n imaam shahanshaah-e-karbalaa
aflaak aur zamiin kii choTii pe aap kaa
raushan rahegaa naam shahanshaah-e-karbalaa
'iqbaal' pahle des madiina yaa ab magar
hai karbalaa maqaam shahanshaah-e-karbalaa
maidaan-e-karbalaa me.n savaaraa aap ne
big.Daa hu.aa nizaam shahanshaah-e-karbalaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.