salaam us zaat-e-aqdas par salaam us faKHr-e-dauraa.n par

Jagannath Azaad
MORE BYJagannath Azaad
salaam us zaat-e-aqdas par salaam us faKHr-e-dauraa.n par
hazaaro.n jis ke ehsaanaat hai.n duniyaa-e-imkaa.n par
salaam us par jo haamii ban ke aayaa Gam-nasiibo.n kaa
rahaa jo bekaso.n kaa aasraa mushfiq Gariibo.n kaa
madadgaar-o-mu’aavin be-baso.n kaa zer-dasto.n kaa
za’iifo.n kaa sahaaraa aur mohsin haq parasto.n kaa
salaam us par jo aayaa rahmatul-lil-'aalamii.n ban kar
payaam-e-dost le kar saadiqul-vaa’d vaa me.n ban kar
salaam us par jalaa.ii sham’-e-’irfaa.n jis ne siino.n me.n
kiyaa haq ke liye betaab sajdo.n ko jabiino.n me.n
salaam us par banaayaa jis ne diivaano.n ko farzaana
may hikmat kaa chhalkaa yaa jahaa.n me.n jis ne paimaana
ba.De chhoTo.n me.n jis ne ik uKHuvvat kii banaa Daalii
zamaana se tamiiz-e-bandaa-o-aaqaa miTaa Daalii
salaam us par faqiirii me.n nihaa.n thii jis kii sultaanii
rahii zer-e-qadam jis ke shikoh-o-shaan-e-kHaaqaanii
salaam is par jo hai asuuda zer-e-gumbad-e-kHazraa
zamaana aaj bhii hai jis ke dar pe naasiya-farsaa
salaam us par ki jis ne zulm sah-sah kar du'aa.e.n dii.n
vo jis ne khaa.e patthar gaaliyaa.n us par du'aa.e.n dii.n
salaam us zaat-e-aqdas par hayaat-e-jaavedaanii kaa
salaam 'aazaad' kaa aazaad kii ra.ngiinii-e-bayaanii kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.