salaam us par ki jis ne be-kaso.n kii dast-giirii kii

salaam us par ki jis ne baadshaahii me.n faqiirii kii
salaam us par ki asraar-e-mohabbat jis ne samjhaa.e
salaam us par ki jis ne zaKHm khaa kar phuul barsaa.e
salaam us par ki jis ne KHuu.n ke pyaaso.n ko qabaa.e.n dii.n
salaam us par ki jis ne gaaliyaa.n sun kar du'aa.e.n dii.n
salaam us par ki dushman ko hayaat-e-jaavedaa.n de dii
salaam us par abu-suifyaan ko jis ne amaa.n de dii
salaam us par ki jis kaa zikr hai saare sahaa.if me.n
salaam us par hu.aa majruuh jo baazaar-e-taa.ef me.n
salaam us par vatan ke log jis ko ta.ng karte the
salaam us par ki ghar vaale bhii jis se ja.ng karte the
salaam us par ki jis ke ghar me.n chaa.ndii thii na sonaa thaa
salaam us par ki TuuTaa boriyaa jis kaa bichhaunaa thaa
salaam us par jo sachchaa.ii kii KHaatir dukh uThaataa thaa
salaam us par jo bhuukaa rah ke auro.n ko khilaataa thaa
salaam us par jo ummat ke liye raato.n ko rotaa thaa
salaam us par jo farsh-e-KHaak par jaa.De me.n sotaa thaa
salaam us par jis kii saadgii dars-e-basiirat hai
salaam us par ki jis kii zaat faKHr-e-aadamiyat hai
salaam us par ki jis ne jholiyaa.n bhar dii.n faqiiro.n kii
salaam us par ki mashke.n khol dii.n jis ne asiiro.n kii
salaam us par ki thaa al-faqaro-faKHrii jis kaa sarmaayaa
salaam us par ki jis ke jism-e-athar kaa na thaa saayaa
salaam us par ki jis ne fazl ke motii bikhere hai.n
salaam us par buro.n ko jis ne farmaayaa ye mere hai.n
salaam us par ki jis kii chaa.nd taaro.n ne gavaahii dii
salaam us par ki jis kii sa.ng-paaro.n ne gavaahii dii
salaam us par ki jis ne chaa.nd ko do Tuk.De farmaayaa
salaam us par ki jis ke hukm se suuraj palaT aayaa
salaam us pur-fazaa jis ne zamaana kii badal Daalii
salaam us par ki jis ne kufr kii quvvat kuchal Daalii
salaam us par shikaste.n jis ne dii.n baatil kii faujo.n ko
salaam us par ki saakin kar diyaa tuufaa.n kii maujo.n ko
salaam us par ki jis ne kaafiro.n ke zor ko to.Daa
salaam us par ki jis ne panja-e-be-daad ko mo.Daa
salaam us par sar-e-shaahanshahii jis ne jhukaayaa thaa
salaam us par ki jis ne kufr ko niichaa dikhaayaa thaa
salaam us par ki jis ne zindagii kaa raaz samjhaayaa
salaam us par ki jo KHud badr ke maidaan me.n aayaa
salaam us par ki bhulaa sakte nahii.n jis kaa kabhii ehsaa.n
salaam us par musalmaano.n ko dii talvaar aur quraa.n
salaam us par ki jis kaa naam le kar us ke shaidaa.ii
ulaT dete hai.n taKHt-e-qaisariiyat auj-e-daaraa.ii
salaam us par ki jis ke naam-levaa har zamaane me.n
ba.Dhaa dete hai.n Tuk.Daa sarfaroshii ke fasaane me.n
salaam us par ki jis ke naam kii 'azmat pe kaT marnaa
musalmaa.n kaa yahii iimaa.n yahii maqsad yahii sheva
salaam us zaat par jis ke pareshaa.n-haal diivaane
sunaa sakte hai.n ab bhii kHaalid-o-haidar ke afsaane

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.