Font by Mehr Nastaliq Web

yaa rasuulullaah tere dar kii fazaa.o.n ko salaam

Muhammad Ali Zuhoori

MORE BYMuhammad Ali Zuhoori

    yaa rasuulullaah tere dar kii fazaa.o.n ko salaam

    gumbad-e-kHazraa kii ThanDii-ThanDii chhaa.o.n ko salaam

    vaalihaana jo tavaaf-e-rauza-e-aqdas kare

    mast-o-kHud vajd me.n aatii un havaa.o.n ko salaam

    jo madiine kii galii-kuucho.n me.n dete hai.n sadaa

    taa-qayaamat un faqiiro.n aur gadaa.o.n ko salaam

    maa.ngte hai.n jo vahaa.n shaah-o-gadaa be-imtiyaaz

    dil kii har dha.Dkan me.n shaamil un du'aa.o.n ko salaam

    ai zuhuurii KHush-nasiibii le ga.ii jin-jin ko hijaaz

    un ke ashko.n aur un kii iltijaa.o.n ko salaam

    dar pe rahne vaale kHaaso.n aur 'aamo.n ko salaam

    yaa nabii tere Gulaamo.n ke Gulaamo.n ko salaam

    kaa'ba kaa'ba ke KHush-manzar nazaaro.n par duruud

    masjid-e-nabvii kii sub.ho.n aur shaamo.n ko salaam

    jo pa.Dhaa karte hai.n roz-o-shab tere darbaar me.n

    pesh kartaa hai 'zuhuurii' un salaamo.n ko salaam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now