gulistaan-e-vilaayat pe laakho.n salaam
gulistaan-e-vilaayat pe laakho.n salaam
paikraan-e-hidaayat pe laakho.n salaam
jin ko rab ne kahaa saahib-e-mustafaa
un kii sachchii rifaaqat pe laakho.n salaam
jaan-o-maal aur aulaad sab hai.n nisaar
ishq kii us rivaayat pe laakho.n salaam
siina-e-kufr par zarb-kaarii hai tuu
ai umar terii jur.at pe laakho.n salaam
narm-kHuu.ii kii KHuubii idhar aur udhar
kufr par un kii haibat pe laakho.n salaam
vaar shaitaan kaa jin pe chaltaa nahii.n
un kii haibat jalaalat pe laakho.n salaam
sharm nuurii bhii karte hai.n 'usmaan se
us hayaa aur sharaafat pe laakho.n salaam
jin ke haatho.n pe hai kamlii vaale kaa haath
aise haatho.n kii bai.at pe laakho.n salaam
sidq-o-'adl-o-sakHaavat-o-shujaa'at hai jo
us alii kii imaamat pe laakho.n salaam
naqsh-paa-e-nabii se hai nisbat sab
us tariiq KHilaafat pe laakho.n salaam
jis se qaa.em hu.ii aabruu diin kii
us misaalii shahaadat pe laakho.n salaam
rahtii duniyaa ko haq-aashnaa kar ga.ii
us husainii qayaadat pe laakho.n salaam
jis se raazii hai rab rab se raazii hai jo
aisii momin jamaa.at pe laakho.n salaam
daras jis kaa diyaa umm-e-qur.aan ne
us rah-e-istaqaamat pe laakho.n salaam
martaba jis kaa a.alaa hai ka.abe se bhii
aise momin kii azmat pe laakho.n salaam
qaul-o-fe'l-o-adaa sunnat-e-mustafaa
aise shauq-e-itaa'at pe laakho.n salaam
sau kaa qaatil bhii baKHshaa gayaa raah me.n
rab ke yaaro.n kii qurbat pe laakho.n salaam
jin ke kutte bhii vallaah hai.n jannatii
aise neko.n kii nisbat pe laakho.n salaam
jin kii nas nas hai masruuf yaad-e-KHudaa
zikr vaalo.n kii mid.hat pe laakho.n salaam
hashr ke roz bhii kaam aa.egii ye
allaah vaalo.n kii sa.ngat pe laakho.n salaam
mujrmo.n ko ye jannat me.n le jaa.egii
auliyaa kii mohabbat pe laakho.n salaam
jis ne raushan ka.e ma.arifat ke charaaG
aise piir-e-tariiqat pe laakho.n salaam
jalvat-e-’aashiqaa.n hai tasavvur tiraa
murshidii terii KHalvat pe laakho.n salaam
us saraapaa se har dam jhalaktii hai jo
us nafaasat nazaafat pe laakho.n salaam
tum KHariido jinhe.n vo hii 'mumtaaz' hai.n
un Gulaamo.n kii qismat pe laakho.n salaam

- Book : Mumtaziyat (Pg. 40)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.