ye naam-e-KHudaa kis kaa naam aa rahaa hai
ye naam-e-KHudaa kis kaa naam aa rahaa hai
zabaa.n par duruud-o-salaam aa rihaa hai
najaat-e-umam kaa payaam aa rahaa hai
jahaa.n me.n rasuul-e-anaam aa rahaa hai
pa-e-tishna-kaamaan-e-sahbaa-e-vahdat
ko.ii aaj kausar ba-jaam aa rahaa hai
buto.n kaa 'amal uTh rahaa hai haram se
ki muKHtaar-e-bait-ul-haraam aa rahaa hai
mubaarak ho fitno.n ko taa-hashr sonaa
ki ab daur-e-amn-o-salaam aa rahaa hai
ye qur.aan-e-naatiq ye aa.iin-e-mohkam
KHudaa kaa mukammal nizaam aa rahaa hai
lataafat kii dariyaa fasaahat kaa kausar
kalaam-e-balaaGat nizaam aa rahaa hai
saf-e-ambiyaa kiyaa hai taaro.n kaa jhurmuT
sitaaro.n me.n maah-e-tamaam aa rahaa hai
falak jhuk rahaa hai zamii.n hai mo.addab
shah-e-’arsh-e-aa'zam KHiraam aa rahaa hai
mohammad kii sarkaar allaahu-akbar
KHudaa kaa baraabar salaam aa rahaa hai
'aqiidat ke kuchh phuul daaman me.n lai kar
salaamii ko teraa Gulaam aa rahaa hai
use bhii inaayat ho ik jaam-e-kausar
teraa 'muslim' tishna-kaam aa rahaa hai

- Book : Guldasta-e-Naat (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.