hazrat-e-kHairul-varaa ko hai salaam
hazrat-e-kHairul-varaa ko hai salaam
yaa'nii KHatm-ul-ambiyaa ko hai salaam
jin kaa diidaar-e-KHudaa me’araaj hai
ve mohammad musaffaa ko hai salaam
hai.n jo sultaan-e-do-’aalam KHalq me.n
ham sabho.n ke baadshah ko hai salaam
apnii ummat kii jo Gam-KHvaarii kare.n
shaafe’-e-roz-e-jazaa ko hai salaam
mushkile.n sab merii jo aasaa.n kare.n
hazrat-e-sher-e-KHudaa ko hai salaam
KHatm-e-paiGambar kii hai.n laKHt-e-jigar
faatima KHairunnisaa ko hai salaam
hai.n jo nuur-e-diida-e-sher-e-KHudaa
ve do sibt-e-mustafaa ko hai salaam
kaash farmaa de.n zabaa.n se apnii ve
‘nasr’-e-dil-kHasta gadaa ko hai salaam
hazrat-e-kHairul-varaa ko hai salaam
yaa'nii KHatm-ul-ambiyaa ko hai salaam
jin kaa diidaar-e-KHudaa me’araaj hai
ve mohammad musaffaa ko hai salaam
hai.n jo sultaan-e-do-’aalam KHalq me.n
ham sabho.n ke baadshah ko hai salaam
apnii ummat kii jo Gam-KHvaarii kare.n
shaafe’-e-roz-e-jazaa ko hai salaam
mushkile.n sab merii jo aasaa.n kare.n
hazrat-e-sher-e-KHudaa ko hai salaam
KHatm-e-paiGambar kii hai.n laKHt-e-jigar
faatima KHairunnisaa ko hai salaam
hai.n jo nuur-e-diida-e-sher-e-KHudaa
ve do sibt-e-mustafaa ko hai salaam
kaash farmaa de.n zabaa.n se apnii ve
‘nasr’-e-dil-kHasta gadaa ko hai salaam
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.