mahbuub-e-kibriyaa se meraa salaam kahnaa

tujh par KHudaa kii rahmat ai ’aazim-e-madiina
nuur-e-mohammadii se raushan ho teraa siina
jab saahil-e-'arab par pahu.nche teraa safiina
us vaqt sar jhukaa kar lillaah baa-qariina
sultaan-e-ambiyaa se meraa salaam kahnaa
saahil pe aate aate maujo.n ko chuum lenaa
maujo.n ke baa'd dil-kash zarro.n ko chuum lenaa
us paak sarzamii.n kii raaho.n ko chuum lenaa
phuulo.n ko chuum lenaa kaa.nTo.n ko chuum lenaa
phir nuur-e-vazzuhaa se meraa salaam kahnaa
ho jaanib-e-madiina jab kaarvaa.n ravaana
salle-’alaa mohammad kaa lab pe ho taraana
vird-e-zabaa.n ho.n jis dam ash’aar-e-’aashiqaana
jab rahmat-e-KHudaa kaa baTne lage KHazaana
sarchashma-e-’ataa se meraa salaam kahnaa
darbaar-e-mustfaa kii haasil ho jab huzuurii
pesh-e-nazar ho jis dam vo baargaah-e-nuurii
ho duur ranj-o-kulfat miT jaa.e fikir-e-duurii
diidaar-e-mustafaa kii jab aarzuu ho puurii
vashshams kii ziyaa se meraa salaam kahnaa

- Book : Raza-e-Mustafa (Pg. 1)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.