assalaam ai shaafe'-e-mahshar laqab
assalaam ai shaafe'-e-mahshar laqab
assalaam ai qaasim-e-jannat laqab
ambiyaa me.n taaj vaale assalaam
ai mire me'raaj vaale assalaam
mere maulaa mere vaalii assalaam
aap hai.n maulal-mavaalii assalaam
assalaam ai paadshaah-e-daad-ras
assalaam ai KHalq ke fariyaad-ras
assalaam ai mehr-o-ai maah-e-tamaam
aap kaa din aap kii raat assalaam
assalaam ai dene vaale daad ke
sun.ne vaale aap hai.n fariyaad ke
assalaam ai ’izzat-e-farsh-e-zamii.n
assalaam ai ziinat-e-'arsh-e-barii.n
faKHr-e-aadam faKHr-e-havvaa assalaam
fakHr-e-mariyam fakHr-e-'iisaa assalaam
anta haamid anta ahmad assalaam
yaa-mohammad yaa-mohammad assalaam
assalaam ai sarvar-e-kaun-o-makaa.n
assalaam ai mufakHkHar-e-kaun-o-makaa.n
tum se aadam tum se havvaa assalaam
tum se muusaa tum se iisaa assalaam
rag-shanaas-e-nahnuu-aqrab assalaam
udnu-minnii ke muKHaatab assalaam
hai zabardast aap kaa diin-e-matii.n
aap ke as.haab hai.n rukn-e-rakiin
aap ke as.haab par paim salaam
aap ke ahbaab par har-dam salaam
aap par naazil kalaam allaah kaa
aap par har-dam salaam allaah kaa
aap kaa in.aam hai mash.huur-e-’aam
ho ataa jaagiir me.n daarussalaam
aap kaa jalva hai din-raat assalaam
aap hai.n nuur-e-samaavaat assalaam
assalaam ai mustafaa summaa assalaam
assalaam ai mujtabaa summaa assalaam
nuur-e-KHaaliq aap kaa nuur assalaam
aap hai.n nuurun 'alaa nuur assalaam
aap par qur.aan naazil assalaam
aap kaa hai diin kaamal assalaam
assalaam ai partav-e-mir.aat-e-haq
assalaam ai avval-e-aayaat-e-haq
assalaam ai aap hai.n mushkil-kushaa
assalaam ai aap hai.n haajat-ravaa
assalaam ai shaah-e-vaalaa assalaam
assalaam ai mere maulaa assalaam
assalaam ai sham’-e-aivaan-e-rusul
assalaam ai sadr-e-diivaan-e-rusul
assalaam ai faKHr-e-aadam assalaam
assalaam ai jaan-e-'aalam assalaam
tere ghar hai diin-o-iimaa.n assalaam
assalaam ai diin-o-iimaa.n assalaam
assalaam ai nuur-e-dil nuur-e-nazar
assalaam ai rab ke manzuur-e-nazar
qibla-e-dil kaa'ba-e-jaa.n assalaam
nuur-e-’irfaa.n nuur-e-iimaa.n assalaam
tujh se zeb-o-zain-e-iimaa.n assalaam
terii ulfat ain-e-iimaa.n assalaam
assalaam ai avval-e-kul ambiyaa
assalaam ai afzal-e-kul ambiyaa
assalaam ai bulbul-e-gulzaar-e-kun
assalaam ai nau-gul-e-gulzaar-e-kun
assalaam allaah kii shaan assalaam
dil tasadduq jaan qurbaa.n assalaam
naasikH-e-adyaan-e-maazii assalaam
aap se allaah raazii assalaam
assalaam ai ’arsh-e-manzil assalaam
laa-makaa.n ke sham’-e-mahfil assalaam
ai muqiim-e-aasmaa.n tum par salaam
ai kamiin-e-laa-makaa.n tum par salaam
assalaam ai hashr me.n sab ke shafii'
shaan terii pesh-e-haq sab se rafii'
assalaam ai 'aasiyo.n ke 'uzr-KHvaah
haafiz-e-be-dast-o-paa ke dast-gaah
assalaam ai har nihaa.n tum par 'ayaa.n
ho na zaahir Gair par dard-e-nihaa.n
be-dilo.n ke aap dildaar assalaam
Gamzado.n ke aap Gam-KHvaar assalaam
aap hai.n yaasiin-o-taahaa assalaam
qaabil-e-auhaa fa-auhaa assalaam
muntahii tum aur sab hai.n mubtadii
muqtadaa tum aur sab hai.n muqtadii
farsh kii me'raaj terii KHaak-e-paa
'arsh kii sartaaj terii KHaak-e-paa
aasmaano.n par tumhaarii aab-o-taab
mehr-o-mah zarre hai.n tum ho aaftaab
ho tumhii.n to nuur mehr-o-maah ke
tum se sab kuchh hai sivaa allāh ke
allaah allaah kyaa hai rahmat kii nigaah
ham gunahgaar aur tum ho 'uzr-KHvaah
baaG-e-taiba hai tumhaaraa KHaana-baaG
tum KHudaa ke ghar ke ho raushan charaaG
hai.n 'ayaa.n aa’maal-e-ummat aap par
aur haalii haal-e-ummat aap par
bekaso.n kaa kaun hai tere sivaa
be-baso.n kaa kaun hai tere sivaa
naa-tavaano.n kaa sahaaraa kaun hai
niim-jaano.n kaa sahaaraa kaun hai
hashr me.n kumba qabiila kuchh nahii.n
be-vasiile kaa vasiila kuchh nahii.n
hashr ke din kis ko kis kii fikr hai
jis ko dekho us ko apnii fikr hai
apne sab hai.n Gair sab kaa aap Gair
bhaa.ii beTaa biibayaa.n maa.n baap Gair
ek neze par kha.Daa hai aaftaab
ho rahaa hai zarre-zarre kaa hisaab
tole jaate hai.n taraazuu me.n 'amal
tol me.n mumkin nahii.n kuchh pech bal
baal se baariik hai raah-e-siraat
dekhiye kyuu.n kar ho tai raah-e-siraat
raah-e-pal hai tez-tar talvaar se
girte hai.n kaT-kaT ke jis kii dhaar se
pal ke niiche naar ke sho'le shadiid
tarjumaan-e-naa’ra-e-hal-mim maziid
al-madad ai mere Gam-KHvaar al-madad
al-madad mere madad-gaar al-madad
hai 'ayaa.n mushkil-kushaa.ii aap kii
mai.n huu.n mushkil me.n duhaa.ii aap kii
dene vaalaa kaun aa.e daad kaa
sun.ne vaalaa kaun hai fariyaad kaa
haa.n KHabar lo haafiz-e-mahjuur kii
ummatii hai ummatii hai ummatii
aap maulaa hai.n vo ek adnaa Gulaam
dast-basta ’arz kartaa hai salaam
dil fidaa-o-jaa.n-nisaar-o-sar-ba-kaf
gar qubuul uftad zahe ’izz-o-sharaf
ik guzaarish kii ijaazat diijiye
jo guzaarish mai.n karuu.n sun liijiye
kyuu.n huzuurii se mujhe rakkhaa hai duur
kyaa likhaa hai merii qismat me.n huzuur
hai bhii qismat me.n ziyaarat yaa nahii.n
hai bhii qismat me.n ye daulat yaa nahii.n
mubtalaa-e-janj-o-Gam kab tak rahuu.n
iltijaa kis se karuu.n kis se kahuu.n
yaa davaa lii yaa tabiibii al-Giyaas
yaa Giyaasii yaa habiibii al-Giyaas
kyaa dikhaa.e.n dekhiye mere nasiib
dekhiye kab tak rahuu.n mai.n be-nasiib
kab bulaa.e.n dekhiye sarkaar aap
kab dikhaa.e.n dekhiye diidaar aap
biis saal umiid-vaarii me.n kaTe
biis saal is be-qaraarii me.n kaTe
taa-kujaa ummiid-vaarii al-Giyaas
taa-kujaa ye be-qaraarii al-Giyaas
apne bas tak ham ne maare haath paa.nv
ab nahii.n chalte hamaare haath paa.nv
yaa-nabii ab taaqat-e-duurii nahii.n
yaa-nabii ab taab-e-mahjuurii nahii.n
hai judaa.ii kii ko.ii had al-amaa.n
yaa-Giyaasii yaa-mohammad al-amaa.n
dil ko ye kah kah ke samjhaataa huu.n mai.n
dekh ab jaataa huu.n ab jaataa huu.n mai.n
dekh pesh ab jaatii hai hikmat ko.ii
dekh ab ban aatii hai suurat ko.ii
ek-do din ho to kaam aa.e fareb
haa.e kab tak dil miraa khaa.e fareb
aise bahlaane kaa ho kyaa e'tibaar
ab nahii.n dil ko bhii meraa e'tibaar
kuchh ga.e kuchh ho bhii aa.e yaa nasiib
ik hamii.n jaane na paa.e yaa nasiib
jaane vaale jaa chuke ham rah ga.e
aane vaale aa chuke ham rah ga.e
dil nahii.n maayuus ab tak ziinhaar
aap kii rahmat kaa hai ummiid-vaar
naa-ummiidii kaam hai shaitaan kaa
naa-ummiidii me.n hai Dar iimaan kaa
dil me.n hai kuchh paas bhii kuchh aas bhii
aasre ke saath kuchh vasvaas bhii
go hai meraa TuuTaa phuuTaa aasraa
hai to aakHir aap hii kaa aasraa
yaa-nabii kuchh to sahaaraa diijiye
sharm merii aas kii rakh liijiye
TuuTe dil me.n shauq hai armaan hai
shauq kaa armaan kaa tuufaan hai
ab ke ye armaan dil me.n rah na jaa.e
ab ke ye tuufaan dil me.n rah na jaa.e
rah na jaa.e phir adhuuraa ye savaal
ab ke to ho jaa.e puuraa ye savaal
hind viiraana 'arab me.n zeb-o-zain
aur duuno.n me.n hai mashriqain
mai.n chaluu.n mashriq se maGrib kii taraf
pahle haj phir ho ziyaarat kaa sharaf
gi.Dgi.Daa kar kah rahaa huu.n ye savaal
iltijaa rad ho na jaa.e ab ke saal
yaa-nabii apne navaase kaa tufail
karbalaa ke bhuuke-pyaase kaa tufail
mai.n huu.n zaar-o-KHasta-jaan-o-be-navaa
bhuukaa-pyaasaa aap ke diidaar kaa
bhuuk-piyaas ab had se guzrii aah-aah
bhuuke-piyaase par karam kii ho nigaah
assalaam ai shaafe'-e-mahshar laqab
assalaam ai qaasim-e-jannat laqab
ambiyaa me.n taaj vaale assalaam
ai mire me'raaj vaale assalaam
mere maulaa mere vaalii assalaam
aap hai.n maulal-mavaalii assalaam
assalaam ai paadshaah-e-daad-ras
assalaam ai KHalq ke fariyaad-ras
assalaam ai mehr-o-ai maah-e-tamaam
aap kaa din aap kii raat assalaam
assalaam ai dene vaale daad ke
sun.ne vaale aap hai.n fariyaad ke
assalaam ai ’izzat-e-farsh-e-zamii.n
assalaam ai ziinat-e-'arsh-e-barii.n
faKHr-e-aadam faKHr-e-havvaa assalaam
fakHr-e-mariyam fakHr-e-'iisaa assalaam
anta haamid anta ahmad assalaam
yaa-mohammad yaa-mohammad assalaam
assalaam ai sarvar-e-kaun-o-makaa.n
assalaam ai mufakHkHar-e-kaun-o-makaa.n
tum se aadam tum se havvaa assalaam
tum se muusaa tum se iisaa assalaam
rag-shanaas-e-nahnuu-aqrab assalaam
udnu-minnii ke muKHaatab assalaam
hai zabardast aap kaa diin-e-matii.n
aap ke as.haab hai.n rukn-e-rakiin
aap ke as.haab par paim salaam
aap ke ahbaab par har-dam salaam
aap par naazil kalaam allaah kaa
aap par har-dam salaam allaah kaa
aap kaa in.aam hai mash.huur-e-’aam
ho ataa jaagiir me.n daarussalaam
aap kaa jalva hai din-raat assalaam
aap hai.n nuur-e-samaavaat assalaam
assalaam ai mustafaa summaa assalaam
assalaam ai mujtabaa summaa assalaam
nuur-e-KHaaliq aap kaa nuur assalaam
aap hai.n nuurun 'alaa nuur assalaam
aap par qur.aan naazil assalaam
aap kaa hai diin kaamal assalaam
assalaam ai partav-e-mir.aat-e-haq
assalaam ai avval-e-aayaat-e-haq
assalaam ai aap hai.n mushkil-kushaa
assalaam ai aap hai.n haajat-ravaa
assalaam ai shaah-e-vaalaa assalaam
assalaam ai mere maulaa assalaam
assalaam ai sham’-e-aivaan-e-rusul
assalaam ai sadr-e-diivaan-e-rusul
assalaam ai faKHr-e-aadam assalaam
assalaam ai jaan-e-'aalam assalaam
tere ghar hai diin-o-iimaa.n assalaam
assalaam ai diin-o-iimaa.n assalaam
assalaam ai nuur-e-dil nuur-e-nazar
assalaam ai rab ke manzuur-e-nazar
qibla-e-dil kaa'ba-e-jaa.n assalaam
nuur-e-’irfaa.n nuur-e-iimaa.n assalaam
tujh se zeb-o-zain-e-iimaa.n assalaam
terii ulfat ain-e-iimaa.n assalaam
assalaam ai avval-e-kul ambiyaa
assalaam ai afzal-e-kul ambiyaa
assalaam ai bulbul-e-gulzaar-e-kun
assalaam ai nau-gul-e-gulzaar-e-kun
assalaam allaah kii shaan assalaam
dil tasadduq jaan qurbaa.n assalaam
naasikH-e-adyaan-e-maazii assalaam
aap se allaah raazii assalaam
assalaam ai ’arsh-e-manzil assalaam
laa-makaa.n ke sham’-e-mahfil assalaam
ai muqiim-e-aasmaa.n tum par salaam
ai kamiin-e-laa-makaa.n tum par salaam
assalaam ai hashr me.n sab ke shafii'
shaan terii pesh-e-haq sab se rafii'
assalaam ai 'aasiyo.n ke 'uzr-KHvaah
haafiz-e-be-dast-o-paa ke dast-gaah
assalaam ai har nihaa.n tum par 'ayaa.n
ho na zaahir Gair par dard-e-nihaa.n
be-dilo.n ke aap dildaar assalaam
Gamzado.n ke aap Gam-KHvaar assalaam
aap hai.n yaasiin-o-taahaa assalaam
qaabil-e-auhaa fa-auhaa assalaam
muntahii tum aur sab hai.n mubtadii
muqtadaa tum aur sab hai.n muqtadii
farsh kii me'raaj terii KHaak-e-paa
'arsh kii sartaaj terii KHaak-e-paa
aasmaano.n par tumhaarii aab-o-taab
mehr-o-mah zarre hai.n tum ho aaftaab
ho tumhii.n to nuur mehr-o-maah ke
tum se sab kuchh hai sivaa allāh ke
allaah allaah kyaa hai rahmat kii nigaah
ham gunahgaar aur tum ho 'uzr-KHvaah
baaG-e-taiba hai tumhaaraa KHaana-baaG
tum KHudaa ke ghar ke ho raushan charaaG
hai.n 'ayaa.n aa’maal-e-ummat aap par
aur haalii haal-e-ummat aap par
bekaso.n kaa kaun hai tere sivaa
be-baso.n kaa kaun hai tere sivaa
naa-tavaano.n kaa sahaaraa kaun hai
niim-jaano.n kaa sahaaraa kaun hai
hashr me.n kumba qabiila kuchh nahii.n
be-vasiile kaa vasiila kuchh nahii.n
hashr ke din kis ko kis kii fikr hai
jis ko dekho us ko apnii fikr hai
apne sab hai.n Gair sab kaa aap Gair
bhaa.ii beTaa biibayaa.n maa.n baap Gair
ek neze par kha.Daa hai aaftaab
ho rahaa hai zarre-zarre kaa hisaab
tole jaate hai.n taraazuu me.n 'amal
tol me.n mumkin nahii.n kuchh pech bal
baal se baariik hai raah-e-siraat
dekhiye kyuu.n kar ho tai raah-e-siraat
raah-e-pal hai tez-tar talvaar se
girte hai.n kaT-kaT ke jis kii dhaar se
pal ke niiche naar ke sho'le shadiid
tarjumaan-e-naa’ra-e-hal-mim maziid
al-madad ai mere Gam-KHvaar al-madad
al-madad mere madad-gaar al-madad
hai 'ayaa.n mushkil-kushaa.ii aap kii
mai.n huu.n mushkil me.n duhaa.ii aap kii
dene vaalaa kaun aa.e daad kaa
sun.ne vaalaa kaun hai fariyaad kaa
haa.n KHabar lo haafiz-e-mahjuur kii
ummatii hai ummatii hai ummatii
aap maulaa hai.n vo ek adnaa Gulaam
dast-basta ’arz kartaa hai salaam
dil fidaa-o-jaa.n-nisaar-o-sar-ba-kaf
gar qubuul uftad zahe ’izz-o-sharaf
ik guzaarish kii ijaazat diijiye
jo guzaarish mai.n karuu.n sun liijiye
kyuu.n huzuurii se mujhe rakkhaa hai duur
kyaa likhaa hai merii qismat me.n huzuur
hai bhii qismat me.n ziyaarat yaa nahii.n
hai bhii qismat me.n ye daulat yaa nahii.n
mubtalaa-e-janj-o-Gam kab tak rahuu.n
iltijaa kis se karuu.n kis se kahuu.n
yaa davaa lii yaa tabiibii al-Giyaas
yaa Giyaasii yaa habiibii al-Giyaas
kyaa dikhaa.e.n dekhiye mere nasiib
dekhiye kab tak rahuu.n mai.n be-nasiib
kab bulaa.e.n dekhiye sarkaar aap
kab dikhaa.e.n dekhiye diidaar aap
biis saal umiid-vaarii me.n kaTe
biis saal is be-qaraarii me.n kaTe
taa-kujaa ummiid-vaarii al-Giyaas
taa-kujaa ye be-qaraarii al-Giyaas
apne bas tak ham ne maare haath paa.nv
ab nahii.n chalte hamaare haath paa.nv
yaa-nabii ab taaqat-e-duurii nahii.n
yaa-nabii ab taab-e-mahjuurii nahii.n
hai judaa.ii kii ko.ii had al-amaa.n
yaa-Giyaasii yaa-mohammad al-amaa.n
dil ko ye kah kah ke samjhaataa huu.n mai.n
dekh ab jaataa huu.n ab jaataa huu.n mai.n
dekh pesh ab jaatii hai hikmat ko.ii
dekh ab ban aatii hai suurat ko.ii
ek-do din ho to kaam aa.e fareb
haa.e kab tak dil miraa khaa.e fareb
aise bahlaane kaa ho kyaa e'tibaar
ab nahii.n dil ko bhii meraa e'tibaar
kuchh ga.e kuchh ho bhii aa.e yaa nasiib
ik hamii.n jaane na paa.e yaa nasiib
jaane vaale jaa chuke ham rah ga.e
aane vaale aa chuke ham rah ga.e
dil nahii.n maayuus ab tak ziinhaar
aap kii rahmat kaa hai ummiid-vaar
naa-ummiidii kaam hai shaitaan kaa
naa-ummiidii me.n hai Dar iimaan kaa
dil me.n hai kuchh paas bhii kuchh aas bhii
aasre ke saath kuchh vasvaas bhii
go hai meraa TuuTaa phuuTaa aasraa
hai to aakHir aap hii kaa aasraa
yaa-nabii kuchh to sahaaraa diijiye
sharm merii aas kii rakh liijiye
TuuTe dil me.n shauq hai armaan hai
shauq kaa armaan kaa tuufaan hai
ab ke ye armaan dil me.n rah na jaa.e
ab ke ye tuufaan dil me.n rah na jaa.e
rah na jaa.e phir adhuuraa ye savaal
ab ke to ho jaa.e puuraa ye savaal
hind viiraana 'arab me.n zeb-o-zain
aur duuno.n me.n hai mashriqain
mai.n chaluu.n mashriq se maGrib kii taraf
pahle haj phir ho ziyaarat kaa sharaf
gi.Dgi.Daa kar kah rahaa huu.n ye savaal
iltijaa rad ho na jaa.e ab ke saal
yaa-nabii apne navaase kaa tufail
karbalaa ke bhuuke-pyaase kaa tufail
mai.n huu.n zaar-o-KHasta-jaan-o-be-navaa
bhuukaa-pyaasaa aap ke diidaar kaa
bhuuk-piyaas ab had se guzrii aah-aah
bhuuke-piyaase par karam kii ho nigaah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.