ai madiine ke shahr-yaar salaam
ai madiine ke shahr-yaar salaam
ai nubuvvat ke taajdaar salaam
arz ke maaya-e-vaqaar salaam
aasmaano.n ke shah-savaar salaam
banda-e-KHaas kirdgaar salaam
aap par sad hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
ai habiib-e-KHudaa imaam-e-rusul
rahmato.n ke mohabbato.n ke naqiib
aaKHirii.n halqa-e-nizaam-e-rusul
nau-e-insaa.n kii raahato.n ke naqiib
azmat-afzaa ai rozgaar salaam
aap par sad hazaar baar salaam
be-had-o-sad-hazaar baar salaam
ambiyaa de ga.e the jis kii KHabar
thaa sahaa.if me.n jis kaa zikr-o-bayaa.n
jis ke mushtaaq the sab ahl-e-nazar
jis kii aamad kaa muntazir thaa jahaa.n
jaan-e-ummiid-o-intizaar salaam
aap par sad-hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
har taraf thii jahaa.n me.n taariikii
Garq insaaniyat thii pastii me.n
aap aa.e to raushnii aa.ii
aap aa.e to baaG-e-hastii me.n
chhaa ga.ii har taraf bahaar salaam
aap par sad-hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
ai Gariibo.n ke haamii-o-hamdam
ai za.iifo.n ke Gam-gusaaro rafiiq
Gam-zado.n ke shariik-e-ranj-o-alam
har sitam-kash ke dardmand-o-shafiiq
dushman-e-har-sitam-shi.aar salaam
aap par sad-hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
rahbar-e-shaahraah-e-manzil-e-ziist
aap kii siirat aap ke farmaan
aap kii yaad sham’-e-mahfil-e-ziist
aap kaa shauq raahat-e-dil-o-jaan
jaan-o-dil aap par nisaar salaam
aap par sad-hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
hai ye taa'miil-e-hukm-e-qur.aanii
ahl-e-iimaan kaa subuut vafaa
bhejtaa hai 'ra.iis'-e-’aasii bhii
aap kii zaat-e-paak par aaqaa
hasab-e-farmaan-e-kirdgaar salaam
aap par sad-hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
ai madiine ke shahr-yaar salaam
ai nubuvvat ke taajdaar salaam
arz ke maaya-e-vaqaar salaam
aasmaano.n ke shah-savaar salaam
banda-e-KHaas kirdgaar salaam
aap par sad hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
ai habiib-e-KHudaa imaam-e-rusul
rahmato.n ke mohabbato.n ke naqiib
aaKHirii.n halqa-e-nizaam-e-rusul
nau-e-insaa.n kii raahato.n ke naqiib
azmat-afzaa ai rozgaar salaam
aap par sad hazaar baar salaam
be-had-o-sad-hazaar baar salaam
ambiyaa de ga.e the jis kii KHabar
thaa sahaa.if me.n jis kaa zikr-o-bayaa.n
jis ke mushtaaq the sab ahl-e-nazar
jis kii aamad kaa muntazir thaa jahaa.n
jaan-e-ummiid-o-intizaar salaam
aap par sad-hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
har taraf thii jahaa.n me.n taariikii
Garq insaaniyat thii pastii me.n
aap aa.e to raushnii aa.ii
aap aa.e to baaG-e-hastii me.n
chhaa ga.ii har taraf bahaar salaam
aap par sad-hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
ai Gariibo.n ke haamii-o-hamdam
ai za.iifo.n ke Gam-gusaaro rafiiq
Gam-zado.n ke shariik-e-ranj-o-alam
har sitam-kash ke dardmand-o-shafiiq
dushman-e-har-sitam-shi.aar salaam
aap par sad-hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
rahbar-e-shaahraah-e-manzil-e-ziist
aap kii siirat aap ke farmaan
aap kii yaad sham’-e-mahfil-e-ziist
aap kaa shauq raahat-e-dil-o-jaan
jaan-o-dil aap par nisaar salaam
aap par sad-hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
hai ye taa'miil-e-hukm-e-qur.aanii
ahl-e-iimaan kaa subuut vafaa
bhejtaa hai 'ra.iis'-e-’aasii bhii
aap kii zaat-e-paak par aaqaa
hasab-e-farmaan-e-kirdgaar salaam
aap par sad-hazaar baar salaam
be-had-o-be-shumaar baar salaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.