Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

salaam ai mire vaaris salaam ai sarkaar

Bekhud Warsi

salaam ai mire vaaris salaam ai sarkaar

Bekhud Warsi

MORE BYBekhud Warsi

    salaam ai mire vaaris salaam ai sarkaar

    KHudaa ke nuur-e-nabii ke zuhuur-e-pur-anvaar

    mai-e-alast ke pur-kaif mai-kade kii bahaar

    riyaaz-e-haq ke mahakte hu.e gul-e-be-e-KHaar

    alii ke aur KHudaa ke habiib ke dildaar

    kiyaa hai tum ne do-aalam ko be-KHud-o-sarshaar

    alii ke laKHt-e-jigar faatima ke nuurul-ain

    bahaar-e-baaG-e-hasan partav-e-jamaal-e-husain

    suruur-e-qalb-e-hazii.n aashiqo.n ke dil ke chain

    baraa.e KHalq-e-KHudaa ik vasiila-e-daarain

    jahaan-e-ishq ke sultaan-e-paak-baaz ho tum

    hariim-e-husn ke mahbuub dil-navaaz ho tum

    azal ke naGma-e-ra.ngii.n ke soz-o-saaz ho tum

    rumuuz-e-ma.arifat-e-haq kii sharah-e-raaz ho tum

    bahut dino.n se hai biimaar 'beKHud' muztar

    na chaarasaaz hai ko.ii na ko.ii chaara-gar

    tirii nigaah-e-karam se hai us ko aas magar

    chalegaa bistar-e-Gam se yaqii.n hai vo uTh kar

    Source :
    • Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 230)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now