Sufinama

shaah-e-bathaa aur un ke ham-nashiino.n par salaam

Meraj Warsi

MORE BYMeraj Warsi

    shaah-e-bathaa aur un ke ham-nashiino.n par salaam

    jannat-ul-firdaus ke saare makiino.n par salaam

    suura-e-vashshams jin kii KHushnumaa tafsiir hai

    un hasii.n chehro.n pe un raushan-jabiino.n par salaam

    aaj bhii raushan hai jin kii zindagii kaa aaftaab

    bhej ai dil un mohabbat ke amiino.n par salaam

    ishq me.n Duubii hu.ii maKHmuur nazro.n par duruud

    shauq me.n kho.e hu.e pur-nuur siino.n par salaam

    aaj bhii jin se chhalaktii hai sharaab-e-ma.arifat

    baada-e-tauhiid ke un aabgiino.n par salaam

    le u.Dii thii jin kii tho.Dii sii jhalak sub.h-e-azal

    ma.adan-e-KHuubii ke un dilkash nagiino.n par salaam

    jin se sharminda hai.n nazre.n kausar-o-tasniim kii

    baa-KHuluus un paak-siirat paak-biino.n par salaam

    jagmagaate hai.n jo zer-e-KHaak baa-sad aab-o-taab

    un dafiino.n par duruud aur un KHaziino.n par salaam

    jin se chhantii rahtii hai ab tak shu.aa.e.n nuur kii

    siina-e-getii ke un nuurii dafiino.n par salaam

    jin kaa sonaa bhii ibaadat jaagnaa bhii bandagii

    un jahaa.n-afroz un KHalvat-gaziino.n par salaam

    ab bhii hai.n ma.asuum jalve ban ke paiGaam-e-hayaat

    sayyada kii god ke un naazniino.n par salaam

    ab bhii hai.n me.araaj jin ke naqsh-e-paa naqsh-e-amal

    bhejte hai.n ahl-e-dil un mah-jabiino.n par salaam

    Source :
    • Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 179)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now