assalaam ai sayyad-e-kul faKHr-e-aadam assalaam

Mahmood Alam Hussaini
MORE BYMahmood Alam Hussaini
assalaam ai sayyad-e-kul faKHr-e-aadam assalaam
aastaan-e-paak par haazar hai 'aalam assalaam
baadshaah-e-husn ho nuur-e-mujassam assalaam
aap hai.n mere shafii’ ai raafi’-e-Gam assalaam
jab ko.ii ism-e-giraamii le liyaa aadaab se
maGfirat kyaa dau.Dtii-phirtii hai paim assalaam
is faqiir-e-hind kii taqdiir hai shaah-e-'arab
aastaa.n-bosii shahanshaahii se kyaa kam assalaam
al-madad ai kashtii-e-ummat ke pusht-baa.n ho tum
zulaf-e-'aalam ho ga.ii kyuu.n aaj braham assalaam
ek mahbuub-e-KHudaa matluub-e-rabb-ul-’aalamii.n
bar man-e-’aasii ba-gaahii zer-e-KHaakam assalaam
yak-faqiir-e-‘saalik’-e-be-KHaanumaa.n sad-KHaanumaa.n
mere hisse me.n hai qur.aan-e-mua’zzam assalaam

- Book : Karam ke Phool (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.