shahsavaar-e-karbalaa kii shahsavaarii ko salaam
Interesting Fact
नुसरत फ़तेह अली खान के कुछ इज़ाफ़ी अश'आर रस्म-ए-उश्शाक़ यही है के वफ़ा करते हैं यानी हर हाल में हक़ अपना अदा करते हैं हौसला हज़रत-ए-शब्बीर का अल्लाह अल्लाह! सर जुदा होता है और शुक्र-ए-ख़ुदा करते हैं
shahsavaar-e-karbalaa kii shahsavaarii ko salaam
neze pe qur.aan pa.Dhne vaale qaarii ko salaam
raat-din bichh.De hu.o.n kii raah me.n rahnaa kha.De
hazrat-e-suGraa tumhaarii intizaarii ko salaam
sar se chaadar chhin ga.ii lekin nazar uTThii nahii.n
hazrat-e-zainab tumhaarii parda-daarii ko salaam
muskuraate teG pe raushan kiyaa ra.ngii.n charaaG
akbar-o-qaasim tumhaarii jaa.n-nisaarii ko salaam
kaa.np uTThaa 'arsh kaa dil aasmaa.n tharraa gayaa
asGar-e-maa’suum terii be-qaraarii ko salaam
kaT gayaa kumba musiibat sar pe aa.ii luT ga.ii
ho ga.ii bhaa.ii bhatiijo.n se judaa.ii luT ga.ii
'umr-bhar kii dasht-e-Gurbat me.n kamaa.ii luT ga.ii
ro ke jab kahtii thii.n zainab haaye bhaa.ii luT ga.ii
ghar 'alii kaa kyaa luTaa saarii KHudaa.ii luT ga.ii
har imtihaa.n me.n saabir-o-shaakir rahe husain
koh-e-alam uThaane ko haazir rahe husain
dhoke se kuufiyo.n ne bulaa kar sitam kiyaa
mehmaan-e-be-vatan ko bulaa kar sitam kiyaa
kHema lagaa na nahr pe ahmad kii aal kaa
paanii bhii band kar diyaa zahraa ke laal kaa
laasho.n ko bhaa.njo.n kii lahuu me.n sajaa ke laa.e
TuuTe hu.e bahisht ke taare uThaa ke laa.e
aayaa kisii ko paas na ruuh-e-rasuul kaa
gul kar diyaa charaaG mazaar-e-batuul kaa
qaasim kii maut to.D ga.ii aas uf na kii
pyaase shahiid ho ga.e 'abbaas uf na kii
suukhe gale pe tiir lagaa KHuu.n me.n bhar ga.e
akbar ta.Dapte kaa.npte haatho.n me.n mar ga.e
pii ke 'saa.im' jhuumtaa thaa jis ko karbal kaa shahiid
baada-e-'ishq-e-nabii terii KHumaarii ko salaam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.