nazar kaa nuur dilo.n ke liye qaraar duruud

'aqiidato.n kaa chaman ruuh kaa nikhaar duruud
charaaG aisaa ki zulmat-kade chamak uTThe.n
Gamo.n kii dhuup me.n hai abr-e-saaya-daar duruud
hamaare jazba-e-iimaa.n kii parvarish kar ke
binaa-e-diin ko kartaa hai ustuvaar daruud
daruud ruuh kii baaliidgii kaa saamaa.n hai
jabiin-e-shauq ko detaa hai ik nikhaar duruud
duruud naGma-e-naa't-e-nabii kaa sargam hai
sadaa-bahaar du’aa.o.n kaa hai vaqaar duruud
gulaab zehn ke pardo.n par khulne lagte hai.n
mirii zabaa.n pe jab aataa hai mushk-baar duruud
duruud zamzama-e-vaqt hai taraana hai
hariim-e-zaat me.n pa.Dhtaa hai kirdgaar duruud
jabiin-e-qalb pe 'shaakir' raqam hai ye tahriir
duruud sarvar-e-’aalam pe baar-baar duruud

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.