Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

salaam us par ki jo vaj.h-e-shafaa.at ban ke aayaa hai

Shamim Anjum Warsi

MORE BYShamim Anjum Warsi

    salaam us par ki jo vaj.h-e-shafaa.at ban ke aayaa hai

    salaam us par jo do-a.alam kii rahmat ban ke aayaa hai

    salaam us par sa.nvaaraa gesuu-e-insaaniyat jis ne

    salaam us par jo shaan-e-aadamiyat ban ke aayaa hai

    salaam us par diyaa dars-e-vafaa jis ne zamaane ko

    salaam us par jo andaaz mohabbat ban ke aayaa hai

    salaam us par rumuuz-e-ma.arifat jo aayaa samjhaane

    salaam us par jo vahdat kii haqiiqat ban ke aayaa hai

    salaam us par jo ibraahiim kii sunnat adaa.ii kii

    salaam us par jo qurbaanii kii azmat ban ke aayaa hai

    salaam us par dikhaayaa jis ne aakar husn-e-maulaa.ii

    salaam us par ki jo maulaa kii suurat ban ke aayaa hai

    salaam us par 'shamiim' anjum jo manshaa haa-e-vahdat hai

    salaam us par jo sar-taa-paa mashiyyat ban ke aayaa hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now