tum ko ai pyaare nabii ahmad-e-muKHtaar salaam

o shahanshaah-e-do-a.alam mere sarkaar salaam
dil fidaa sadqe jigar jaan hai tum par qurbaa.n
o Gariibo.n ke faqiiro.n ke madad-gaar salaam
lo KHabar mire dil-e-zaar kii haq ke pyaare
ab sataataa hai bahut hijr kaa aazaar salaam
aabruu dono.n jahaa.n mirii bas ho jaaye
sau salaamo.n me.n to le liijiye ik baar salaam
aap ke abruu-e-KHamdaar ne maaraa hai ise
dil-e-pur-dard kaa lo diin ke sardaar salaam
laa ke tashriif zaraa dekhiye haalat merii
yaas me.n kahtii hai ye hasrat-e-diidaar salaam
raat din bhejtaa hai 'Gausii' ye har baar daruud
aap par yaa-nabii har baar hai sau baar salaam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.