taajdaar-e-nubuvvat be-had salaam
mustafaa kii hukuumat pe be-had salaam
vaalidain-e-kariimain kHair-ul-varaa
baabaa 'abdullaah maa.n sayyada aamna
jin kaa rutba hai 'aalam me.n sab se judaa
un kii azalii tahaarat pe be-had salaam
jin kii beTii hai shahzaadii kaunain kii
daulate.n mil ga.ii.n jin ko daarain kii
naanii ammaa.n banii hai.n jo hasnain kii
as KHadiija kii qismat pe be-had salaam
jigar-paara unhe.n mustafaa jo kahaa
zauja-e-murtaza sayyadtunnisaa
beTe jin ke hai.n husain-o-hasan mujtabaa
kHaandaan-e-risaalat pe be-had salaam
jin ko siddiiq KHud kah rahaa hai KHudaa
vo 'umar jin kaa hai 'adl me.n martaba
pyaare 'usmaan kii zaahir hai shaan-e-saKHaa
sab nujuum-e-hidaayat pe be-had salaam
kaam lete nahii.n hai.n vo inkaar se
jin jo maa.ngaa milaa us ko sarkaar se
KHaalii aayaa na ko.ii bhii darbaar se
kamlii vaale kii 'aadat pe be-had salaam
arbo.n kharbo.n se ajmal kaa jii na bhare
kaun likhtaa phire kaun gintii kare
haq to ye hai ki naukar to yuu.nhii kahe
mere aaqaa kii 'azmat pe be-had salaam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.