jis tarah hai.n buzurg mohammad KHudaa ke baa'd

Waheed Ashraf Warsi
MORE BYWaheed Ashraf Warsi
jis tarah hai.n buzurg mohammad KHudaa ke baa'd
yuu.nhii buzurg-tar hai.n 'alii mustafaa ke baa'd
manzil baqaa kii miltii hai raah-e-fanaa ke baa'd
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke baa'd
batlaa ga.e husain hame.n zindagii kaa raaz
ruuh-e-nashaat miltii hai marg-e-jafaa ke baa'd
duniyaa kaa qaa'ida hai yahii jaante hai.n sab
aatii vafaa kii yaad hai ahl-e-vafaa ke baa'd
jin kii shahaadato.n par shahaadat ko naaz hai
aise hu.e shahiid na aal-e-’abaa ke baa'd
ai 'vaarsii' hai dil me.n mire hubb-e-ahl-e-bait
bhejo duruud aal pe tum mustafaa ke baa'd

- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 297)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.