yaa husain ibn-e-'alii terii shahaadat ko salaam

Ishtiyaque Alam Shahbazi
MORE BYIshtiyaque Alam Shahbazi
Interesting Fact
سلام بارگاہ حضرت امام حسین (کربلا-عراق)
yaa husain ibn-e-'alii terii shahaadat ko salaam
jazba-e-iimaan ko shaan-e-'ibaadat ko salaam
kaun hai duniyaa me.n tujh-saa tayyab-o-taahir ko.ii
terii rag-rag me.n ravaa.n KHuun-e-risaalat ko salaam
tere ghar kii paak-baazii me.n hai qur.aa.n boltaa
aayat-e-tathiir to terii tahaarat ko salaam
tuu pyaaraa hai KHudaa kaa aur nabii kaa laaDlaa
ahl-e-jannat karte hai.n terii sadaarat ko salaam
dosto.n par tere rahmat dushmano.n par hai Gazab
hai yahii qaul-e-nabii qaul-e-nubuvvat ko salaam
bachche-bachche kar diye qurbaa.n KHudaa ke naam par
ai aamiirul-mu.minii.n terii imaarat ko salaam
jis ke do motii kaa saanii laa sakaa ko.ii nahii.n
KHaandaan-e-mustafaa kii aisii daulat ko salaam
ye ‘ziyaa-e-kHasta terii raah kaa musht-e-Gubaar
ye bhii hai teraa karam terii 'inaayat ko salaam

- Book : Jalwa-e-Gul Lafz-ba-Lafz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.