ye bil-yaqii.n husain hai nabii kaa nuur-e-ain hai

Hafeez Jalandhari
MORE BYHafeez Jalandhari
Interesting Fact
سلام بہ بارگاہ حضرت امام حسین (کربلا-عراق)
libaas hai phaTaa hu.aa Gubaar me.n aTaa hu.aa
tamaam jism-e-naaznii.n chhiddaa hu.aa kaTaa hu.aa
ye kaun zii-vaqaar hai balaa kaa shah-savaar hai
ki hai hazaaro.n qaatilo.n ke saamne DaTaa hu.aa
ye bil-yaqii.n husain hai nabii kaa nuur-e-ain hai
ye jis kii ek zarb se kamaal-e-fann-e-harb se
ka.ii shaqii gire hu.e ta.Dap rahe hai.n karb se
Gazab hai teG-e-dosraa ki ek ek vaar par
uThii sadaa-e-al-amaa.n zabaan-e-sharq-o-Garb se

’abaa bhii taar-taar hai to jism bhii figaar hai
zamiin bhii tapii hu.ii falak bhii sho.ala-baar hai
magar ye mard-e-teG-e-zan ye saf-shikan falak-figan
kamaal-e-sabr-o-tan-dahii se mahv-e-kaar-zaar hai

dilaavarii me.n fard hai ba.Daa hii sher mard hai
ki jis ke dabdabe se dushmano.n kaa ra.ng zard hai
habiib-e-mustafaa hai ye mujaahid-e-kHudaa hai ye
jabhii to us ke saamne ye fauj gard-gard hai

udhar sipaah-e-shaam hai hazaar intizaam hai
udhar hai.n dushmanaan-e-dii.n idhar faqat imaam hai
magar 'ajiib shaan hai Gazab kii aan-baan hai
ki jis taraf uThii hai teG bas KHudaa kaa naam hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.