ab rukne se kab ruktaa hai diivaana kisii kaa

Sheikh Muhammad Nadeemi
MORE BYSheikh Muhammad Nadeemi
Interesting Fact
صندل در شان قطبِ کوکن حضرت مخدوم علاؤالدین علی مہائمی (ماہم-ممبئی-مہاراشٹرا)
ab rukne se kab ruktaa hai diivaana kisii kaa
sandal cha.Dhaane jaataa hai mastaana kisii kaa
ye phuul kii chaadar kis turbat pe cha.Dhegii
diivaana liye jaataa hai nazraana kisii kaa
mai.n hazrat-e-makHduum pe sau jaa.n se fidaa huu.n
hone do zamaana hai jo diivaana kisii kaa
diidaar kaa armaan ho puuraa ki ye Dar hai
ho jaa.e na dil hijr me.n viiraana kisii kaa
jo ko.ii yahaa.n aataa hai ho jaataa hai sar-mast
dargaah kisii kii hai ki mai-KHaana kisii kaa
yaa hazrat-e-makHduum KHabar liije kisii kii
be-taab hai be-had dil-e-diivaana kisii kaa
mai-KHvaar niraale hai.n zamaane se niraale
duniyaa se judaagaana hai mai-KHaana kisii kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.