dhuum se niklaa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa

Sheikh Muhammad Nadeemi
MORE BYSheikh Muhammad Nadeemi
Interesting Fact
صندل در شان قطبِ کوکن حضرت مخدوم علاؤالدین علی مہائمی (ماہم-ممبئی-مہاراشٹر)
dhuum se niklaa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa
kis qadar mahkaa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa
vaah kyaa niklaa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa
afzal-o-'aalaa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa
ho rahe hai.n dekh kar sab taalibaan-e-diid-e-mahv
lutf kyaa detaa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa
kyuu.n na haasil ho shifaa us se har ik biimaar ko
faiz kaa dariyaa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa
har galii-kuucha mahak uTThaa hai sandal ke sabab
kyaa hii ye mahkaa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa
lene vaale apnii aa.nkho.n se lagaa lete hai.n use
aa.nkh kaa taara hai sandal hazrat-e-makHduum kaa
kHuubii-e-sandal ko ko.ii us ke dil se puuchh le
jisne ye dekhaa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa
dekhne vaale kahaa karte hai.n sab aapas me.n yuu.n
dekho vah aataa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa
ai ‘nadiimii’ sun.ne vaale kah rahe hai.n vaah-vaah
KHuub ye likhaa hai sandal hazrat-e-makHduum kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.